Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islam And Science Ilm Ki Fazilat

  • Ilm Ki Fazilat

  • Mohammad Yaseen

    Contributor March 5, 2021 at 6:20 am
  • Mohammad Yaseen

    Contributor March 5, 2021 at 6:38 am

    Jaisaa main samjha hoon!

    Ilm sirf ilm hai.

    Shuru main, yeh na mazhab ka ilm tha, na science ka.

    Ilm insaan ki khaslat hai. Us ki zaroorat hai. Us ki aadat hai. Yeh pehlay pehl “falsafa” ki surat main nazar aata hai jo phir mazeed ijza main but gaya. Yeh maadi aur ghair maadi ilm main bataa. Maadi ilm science kehlaanain laga, ghair maadi ilm mazhab aur “ma ba’ad at tabiyaat” main bataa.

    Phir science bhi hisaab aur kemiya aur tabiyaat wagaira main bati. Mazhab falsafa aur kalaam aur doosray ajzaa main bataa.

    Gharz yeh keh ilm jaisay jaisay berhta gaya ussi terha us ki isnaaf bhi berhti gayeen.

    Fazilat to ilm main hai jis kay zariye hum khuda to pehchaan sakain gay. Ilm ki isnaaf bhi issi kay teht aa ain gi.

    Sorry for the Roman urdu.

    Stay blessed, always

You must be logged in to reply.
Login | Register