-
Inheritance For The Apostate
Dear Team..Aslamo O Alaikum.
Ummat ka ijma ha is baat par k Jo shaks apne baap ko qatal kr de osko apne baap ki wirasat me se hissa nhi milna..Is pe ghamidi SB or Farahi school of thought bhi agree hain. Lekin Jo shaks murtad ho jae ummat ka is pe bhi ijma ha k osko wirasat me hissa nhi milna. Lekin Ghamidi SB ka nuqta e nazar is pe different ha…WO osko wirasat me haqdar mantay hain. Pehle case me WO yeah tauzeh byan krte hain k jis ne apne baap se rishta khtm kr dia osko hissa q milna? Hala k second case me Jo shaks Allah ki kitab oske Rasool se roh gardani kre osko phr khuda k qanoon k tehat hissa q milna? Quran dono cases me silent ha..pehle case me q nhi milna chahiye hala k baap khtm hua rishta baki ha wo osi maqtool ka waris ha or dosre me q milna chahiye? Aik trf WO khulam khula ailan e bagawat krta khuda or oske rasool or qawaneen se dosri trf WO OSI khuda k qaim krda usool k tehat apni manfeat k liye kehta mjhe hissa milna chahiye…kindly Quran o Sunnat ki roshni me ashkal door kren or Ghamidi SB second case me Ijma k khilaf kin sharai bunyadon pe istadlal frmatay hain WO bhi byan kr den.
Sponsor Ask Ghamidi
The discussion "Inheritance For The Apostate" is closed to new replies.