Forums › Forums › Islamic Sharia › Salat In Severe Sickness
-
Salat In Severe Sickness
Posted by Uwais Subhan on April 22, 2021 at 6:58 amEk insan ghar me ya hospital me admit he, jisko oxygen consentrator laga hua he, usko peshab ke liye urinary catheter bhi laga hua he, or us shaks ko bimari, oxygen ki kami vgrh ki vjh se hosh bhi aam insan ke mukabil bahot kam he, kya us shaks ke liye namaz padhna zaroori he? or vo kis tarah namaz padhega?
Uwais Subhan replied 3 years, 8 months ago 3 Members · 6 Replies -
6 Replies
-
Salat In Severe Sickness
-
Faisal Haroon
Moderator April 22, 2021 at 9:56 amAs long as the person is conscious and capable of of making the salat then it’s obligatory upon him. He does not need to stand a pray. He can make salat while lying down or even with his fingers.
-
Uwais Subhan
Member April 22, 2021 at 10:43 amFaisal sir,
apka jawab adhoora he, kis tarah ek hospital ke bed pr lete shaks ke liye 5 waqt ki namaz zaroori ho sakti he? kya is gair-mamooli mashakkat ke liye Allah ke koi alfaz quran me moujood he? kya koi rivayat moujood?
Apne yeh nahi bataya vo shaks wuzu kese karega, kya wuzu ki zaroorat hogi? Us shaksh ko lung disease he, tayammum krne me us shaks ke lungs me mitti ja sakti he,
Aap kis pemane pr insan ki consciousness napege, (obligatory) really sir?
Apka jawab nihayat hi gair-zimmedarana or zalimana he, agar aap kisi or danish-war ki tawajjo is sawal pr kara skte he to shayad vo hume sahi jawad de sake,
Shukriya.
-
Faisal Haroon
Moderator April 22, 2021 at 11:01 amPlease read my response above again. The conditions I stated are conscious and capable.
Neither am I nor anyone else is responsible for setting the scale for consciousness and capability. It’s for the person himself to decide.
Tayyamum doesn’t require eating dust. All it means is touching your hand on dust, no matter how little. Tiny dust particles are everywhere such as tables and walls. If there’s difficulty in that as well, salat can still be offered without it.
-
Uwais Subhan
Member April 22, 2021 at 11:31 amBut still be offered? Sahab sawal yaha yeh paida hota he yeh (obligatory) or zaroori kon tey karta he, jaha tak mera ilm he, Allah ne thodi thodi bato pr namaz ki shakal badal di jese, safar me, fir yaha itne mushkil halat me kon tey kar raha he ke “namaz padhni chahiye”
-
Umer
Moderator April 22, 2021 at 5:21 pmJisay Allah nai mushaqqat par raiyat di hai, ussi asool par baaqi mushaqqat kai baray main bh qiyas karkai hukam lago hojaye ga. Jab Allah nai mushaqqat par namaz chornay kai bajaye, qasar aur jama ki saholat di hai, usi tarah baqi sooraton main bh iska itlaaq hoga. Deen kai sab ahkaam us insaan kai liya hain jiski aqal mauf na hue hoo aur woh pooray hoosh-o-hawas main ho. Agar aisi soorat qaim na rahay, to jis waqt hoosh aur aqal bahal hojaye, banda tab apni namaz ada karay.
-
-
Uwais Subhan
Member April 22, 2021 at 6:21 pmAapka bahot bahot shukriya apne mere sawalo ka jawab dene ki koshish ki, aap dono azeez dosto ki koshish kabil e kadar he,
Lekin hum in jawabo se muta’fiq nahi hua, humari raye is mas’ale me yeh he ke, us insan pr koi huqam nahi he, vo namaz or paki hasil karne ke tamam faraiz se is tarah azad he jis tarah ayyam ke dino me orat namaz ada karne ki pabandi se azad hoti he, tab tak ke vo hospital se discharge na ho jaye, baki us shaks ki marzi he vo jese hi behtar mehsoos kare uska man namaz padhne ke liye karne lage to vo namaz ada kar skta he bina 5 waqt ya wuzu ya 4 rakat ki pabandi ke. Baki uski marzi vo chahe tayammum kare ya sirf tayammum ki nakal hawa hi se kare ya vo bhi nahi, bhale hi 2 rakat padhe, ungli ke ishare se, ankho ki palko ke ishare se, bhale hi din me sirf 1 waqt namaz padhe.
Me yeh raye rakhta hu, Or me aap azeez dosto se guzarish karta hu aap is pr gour kare, or ummat e muslima ko ek naram raye de.
Shukriya, Allah hafiz.
Sponsor Ask Ghamidi