ji yai baat asool main theek hai, Allah nai maafi kai bhot sai muwaqay rakhay hain. Jaisay aik juma sai doosay Juma agar banda ahtemam sai parhay, toh banday kai tamaam gunnah maaf. Isi tarah waisay banda naik tarz e amal ikteyar rakahy toh baaqi kai gunnah jhartay rehtay hain. Isi tarah, agar banday par koe musibat aaye toh banda sabar sai ussay bardasht karay toh yai bh gunahon mai kami ka baes banta hai. iski bhot si itlaaki suratain ho sakti hain, jin main sai beemari main sabar bh aik soorat hai. Hadees main isi aik itlaaqi soorat ki taraf ishara hai. Laikin yai sab woh gunnah hain jo kabeera na hon aur banday aur khuda sai mutalliq hon. Kabeera gunnah aur haqooq ul ibad ki maafi kai liya unki baqaida tallafi karna zaroori hai. Yai chootay gunnah hain jin ki maafi ka zaikar mukhtalif rawayaat main milta hai.