Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Inheritance Issues

Tagged: 

  • Inheritance Issues

    Posted by Fatima on June 13, 2021 at 9:20 am

    hamara ques ye hai ki,ek widow hai jinka masla ye hai ki unke shohar jinka inteqal ho chuka hai ye unki second marriage thi first wife jo duniya me nahi hai unse ek beti hai vo beti bachpan se hi naniyaal me rahti hai vo bachchi ab baligh ho chuke hai uske walid ne apni zindigi me dusri shaadi karne ke baad usy apne paas rakhna chaha lakin us bachchi ne walid ke paas rahne se inkaar kardiya or nani khala mamu ke sath hi rahna pasand kiya,beti ko pane ke liye walid ne court case bhi kiya lakin us ladki ne court me walid ke sath rahne se inkar kar diya,walid apni beti se bht mohabbat karty thi jiska unhe gham bhi tha or phir vo is duniya se guzar gaye,unho ne apni wasiyat biwi ke naam ki hai jo bhi hai sab kuch unke naam hai unka sahara yahi maal hai kyunki unhe koi aulaad nahi hai.masla ye hai ke vo beti walid ke inteqal ke baad wasiyat me davedari karrahi hai lakin walid ne uske naam kuch bhi nahi kiya,usy kitna hissa milna chahiye.ye puri baat likhna zaruri tha pury masly ko samajhne ke liye hamne koi bhi baat nahi chupaye.please jaldi meri uljhan dur karde.jazakallah

    Fatima replied 3 years, 7 months ago 2 Members · 6 Replies
  • 6 Replies
  • Inheritance Issues

    Fatima updated 3 years, 7 months ago 2 Members · 6 Replies
  • Umer

    Moderator June 13, 2021 at 3:13 pm

    Islam main wasiyat asal zaroorat aur khidmat ki bunyaad pai hai na kai rishtaydaari ki bunyaad pai, khasoosan un rishton kai haq main mehaz rishtadaari ki bunyaad pai wasiyat karna sakht mana hai jinkai hissay Allah nai Quran main bayan farma diyai hain. Agar nazm-e-ijtimae samjhay kai kissi haq dar kai saath ziyadti hue hai wasiyat ki wajah sai toh woh us wasiyat main raddo badal kar kai haqdar ko haq dila sakta hai. Laikin yai main aur aap yahan baith kai nhi jaanch saktay kai asal muharrik kya bana us wasiyat ka aur kya waqae woh wasiyat rishtadaari ki bunyaad par ki gae ya kissi khidmat kai ewaz ya zaroorat kai tehat.

  • Fatima

    Member June 14, 2021 at 1:07 am

    brother umer hame aapki baat kuch clear samajh nahi aayi,puchna ye tha ke us ladki ka hissa hoga ya nahi,or hoga to kitna share hona chahiye.

    • Umer

      Moderator June 14, 2021 at 4:03 pm

      Behen mairee is tarah kai maamlaat main baghair saaray haqaiq jaanay raye daina asaan nhi hota. Yahan par asooli baat hi batae jaa sakti hai jo mainay upar bayan kardi hai. Agar upar waali kissi baat main ishqaal hai toh bata dain, main apni samajh kai mutabiq wazahat kardun ga.

    • Fatima

      Member June 15, 2021 at 3:20 am

      brother umer bht shukriya jazakallah bas hame itna or batade ke quraan me is tarhe ke bachche ka kitna percent share hai ya kaha par bayan hua hai.

    • Umer

      Moderator June 15, 2021 at 4:51 pm

      Pehlay qarza aur wasiyat dainay kai baad agar aik beti hai toh maa baap ko 1/6th dai kar aur biwi ka 1/8th dai kar, baaqi tarqay ka aadha (50%) beti ka hai.

      Is main do baatain yaad rakhna zaroori hain, aik yai kai un rishton kai haq main mehaz rishtadaari ki bunyaad pai wasiyat karna sakht mana hai jinkai hissay Allah nai Quran main bayan farma diyai hain, aisi wasiyat kisi khaas zaroorat aur khidmat ki bunyaad pai hai na kai rishtaydaari ki bunyaad pai. Aur doosra yai kai agar koe waris apnay amal ya alfaaz sai rishtaydaari ki bunyad hi dhah dai toh tab bh us waris ko tarkay sai mehroom kiya jaa sakta hai.

      Iski tafseel tamam Qurani ayaat kai saath is link main parh sakti hain aap ya aakhir main videos bh mulaihiza kar sakti hain:

      Discussion 10380

    • Fatima

      Member June 17, 2021 at 5:09 am

      bht shukriya,jazakallah.

You must be logged in to reply.
Login | Register