Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Zakat For Daily Wage Workers

Tagged: 

  • Zakat For Daily Wage Workers

    Umer updated 3 years, 3 months ago 2 Members · 6 Replies
  • Umer

    Moderator August 8, 2021 at 4:28 am

    Mazdoor ki aamdan nisab sai kam hoti hai, is liya us par zakat nhi hogi. Agar aamdan barh jaye nisab sai to tab zakat lago hogi poori mazdoori par baghair kisi katooti kai. Yai paidawaar ki zakat hai. Maal ki zakat saal main aik dafa daini parti hai is kai elawa, uska nisab paidawaar waali zakat kai nisaab sai mukhtalif hai.

    Tafseel kai liya mulahiza hoo:

    Discussion 46733

  • Muhammad Yasir

    Member August 8, 2021 at 4:30 am

    Pedawar kia nisab Kitna ho ga

    • Umer

      Moderator August 8, 2021 at 4:39 am

      Agar hakumat nai koe nisab muqarrar kiya hai to woh istemal hoga.

      Ya agar hakumat nai koe salary main alag sai tax exemption di hue hai, to woh “tax exemption slab” istemal kiya jaa sakta hai.

      Aur agar yai bh nhi hai toh 653 kg kai barabar khajoor ki qeemat nisab kai tor par istemal hogi.

  • Umer

    Moderator August 8, 2021 at 4:33 am

    Please also refer to the video below from 1:08:15 to 1:15:08

    https://youtu.be/6k6KZUhkkQk?t=4095

  • Muhammad Yasir

    Member August 8, 2021 at 4:42 am

    653 kg khajoor daily ki pedawar ya monthly ya phir salana

    • Umer

      Moderator August 8, 2021 at 4:50 am

      Yai har paidawar kai saath hai.

      Laikin is sawal ki mazed tafseel Hassan ilyas Sahab sai poochi hue hai, unka jawab aayega toh apko agah kardunga Insh’Allah.

You must be logged in to reply.
Login | Register