Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Epistemology And Philosophy Ijma Or Tawatur Kese Talash Kren

Tagged: ,

  • Ijma Or Tawatur Kese Talash Kren

    Posted by Nazar Muhammad on August 22, 2021 at 1:44 am

    Ghaliban yahi sawal mere zehen mein ubhra jab me nuzol e maseh wali video dekh raha tha ask ghamidi me daryaft krne ki koshish ki to muje taked ki gai ke me ijma or tawatur ki sahe wazahat hasil kru ghamidi sahab ki magar jis qadar ghamidi sahab ne wazahat se jawab dia magar pir b muje itmenan ni hu saka or mere counter question baki he kia koi shaksh muje tasalli baksh jawab de sakta he

    ap ijma ke confirmation ke lie pichle advar ki jo books uthate he (dobara sunie books yani sirf asar) ghamidi sahab ne kaha wo sirf books nahi he wo mukamal ilm h yaha ghamidi sahab ne muje mutmain ni kia agar bat ijma ki he to ijmah per sab ki sadakat gawahi deti he or agar bat us me kuch kami ki ya verification ki he to uski buniad kitabo per yani asar per hu pir to ye ghamidi sahab ke usolo ke kilaf he na plz help me to understand ghamidi sahab point of view…

    Umer replied 3 years, 4 months ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Ijma Or Tawatur Kese Talash Kren

  • Umer

    Moderator August 22, 2021 at 7:03 am

    Sirf books nhi uthatay, aik pooray ehad kai ilm ka mutala kartay hain, aur us ehad main woh ilm ka ijma daikhaa jaata hai, yaani kai aik deen ka hukam (feham ko chor kar) kaisay muntaqil hoo raha hai, jaisay kai namaz, roza, hajj, zakat waghaira. isi tarah ehad ba ehad yai ilm ki muntaqalli daikhi jaati hai. Is main kissi aik fard ki raye ki ehmiyat nhi hoti, balkay aik zamanay ka sara ilm pooray ijma kai saath deen kai mashmoolaat ko muntaqil kar raha hota hai aur us par nasal bad nasal mutawatir amal bh jaari hota hai.

You must be logged in to reply.
Login | Register