-
Difference Between Deen And Mazhab
Deen aur madhab main bunyadi farq kia hai?
Kioon ke Quran pak main sirf lafz deen aya hai islam ke lie to hamen kese maloom hoga ke ye jo istalah madhab aj kal aam ho chuky kia wo waqe main deen hi hai?
Ek point of view javed ahmed ghamdi sb ka hai ke deen sirf tazkia nafs aur takarub illa’llah ka nam hai aur dosra point of view janab dr.israr sb ka hai ke deen matlab ek nizam hai jis main political,economical aur social qawaneen sary islam ke hon wo deen hai jesa ke khilafat-e-rashida main kaim thy phir malookiat ae aur us ke baad jab english qawaneen ae to ye concept change hogaya aur lafz deen sirf ibadat wagera tak mehdood hoagaya?
Kindly clear this point aur is par janab javed ahmed ghamdi sb ka kia moakif hai?
Sponsor Ask Ghamidi