-
La Ilmi
Assalam-o-Alaikum sb ko
Umeed hai ap sab khairyat say hun gy.
Agr koe manat man lay aur baad ma pata chaly k ye manat ghalat ha tu wo manat tor day aur kaffara ada kr dy. aur waha he dosri tarf koe dosra insan b manat many aur puri kry lakin usko pehle insan ki tarh ilm na ho k ye ghalat ha wo ye na janta ho k ye gunah ha ya shirk jitna bara gunah ha tu kya tb be wo gunah gar hai? kiun usko ilm nahi hai aur pehle insan ny kuch koshish b ki ho rokne ki aur btane ki lakin bt un pe waziya na hovi ho aur wo na samjhte hn k ye ghalat ha un k nazdeek ye thek ha tu kya tb be wo gunah gaar hain …aur pehle wala insan jis k samny wo ye kr rha wo b andr sy dar rha aur pareshan ha k samna wala ghalat kr rha kahain ALLAH PAK un sy naraz na hojayn wo har waqt boht be sakooni main hai k ALLAH PAK kya sochain gay. kya samny waly ko b is ka gunah hoga k us k samny ye horha hai. bs usko aisi he bechani ha k ALLAH PAK dono ko maaf krain gy ya
nahi ya ALLAH PAK naraz na hojayn.
Umer Qureshi Sir
Faisal Haroon sir
Please is par kuch roshani dalain boht pareshani main ha boht Istarab main mubtala hn.
Sponsor Ask Ghamidi
The discussion "La Ilmi" is closed to new replies.