-
Allama Iqbal On Ram
labrez hai sharāb-e-haqīqat se jām-e-hind
sab falsafī haiñ ḳhitta-e-maġhrib ke rām-e-hind
ye hindiyoñ kī fikr-e-falak-ras kā hai asar
rif.at meñ āsmāñ se bhī ūñchā hai bām-e-hind
is des meñ hue haiñ hazāroñ malak-sarisht
mash.hūr jin ke dam se hai duniyā meñ nām-e-hind
hai raam ke vajūd pe hindostāñ ko naaz
ahl-e-nazar samajhte haiñ is ko imām-e-hind
ejaaz is charāġh-e-hidāyat kā hai yahī
raushan-tar-az-sahar hai zamāne meñ shām-e-hind
talvār kā dhanī thā shujā.at meñ fard thā
pākīzgī meñ josh-e-mohabbat meñ fard thā
Kya ye sher Allama Iqbal ka hai aur ye kis ke baare me hai aur kis context me hai
Sponsor Ask Ghamidi