Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Zakat In A Non-Muslim Majority Country

  • Zakat In A Non-Muslim Majority Country

    Posted by Saiyed juned Alimiya on February 24, 2022 at 6:08 am

    ZZakat ek mali ebadat he, aur ye nazme ijtemaiyat ke president ya pm ya sarbara ko deni chahiye, kya woh state ke jayada log gair muslim ho aur waha ka president ya pm bhi gair muslim ho to zakat usko dene me koi naks wake hoga, zakat jesi ibadat me kami pesi hogi, allha quran me jaha bhi zakat dene ka kehte he isko kese samje??????

    Saiyed juned Alimiya replied 2 years, 9 months ago 2 Members · 16 Replies
  • 16 Replies
  • Zakat In A Non-Muslim Majority Country

  • Saiyed juned Alimiya

    Member February 24, 2022 at 11:06 pm

    ?????

  • Umer

    Moderator February 26, 2022 at 8:22 am
  • Umer

    Moderator February 26, 2022 at 8:23 am
  • Umer

    Moderator February 26, 2022 at 8:24 am
  • Saiyed juned Alimiya

    Member February 26, 2022 at 8:44 am

    MMean hukumat gair muslim ki ho to bhi de sakte he, iska faham ki buniyad ko kese samje?? Mean zakat aim hi iska subut he, ya phir Allah ki kai nematose gair muslim advantage le rahe he, lehaza humne jo zakat allh ke name se nikali to itnisi nemat agar gair muslim use kare to kya haraz he, yu samje??

    • Umer

      Moderator February 26, 2022 at 8:47 am

      Jin kamon kai liya Zakat Muslim Hukmaran nai Istemal karni thii toh agar Ghair-Muslim Hukmaran bh unhi kamon main istemal karay to Zakat ka maqsaq poora hogaya aur aisi surat main unhain Zakat dainay main koe harj nhi.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member February 26, 2022 at 9:20 am

    YYe baat sahi he, lekin zakat ek ibaadat he, jese hajj, namaz, roza, ye sari ibaadate muslim ek saath milkar ada karte he, to zakat me bhi sab saath hone chahiye, zakat ko is tarah ada karne se thodi alag ho jaati he isko kese samje,

    • Umer

      Moderator February 26, 2022 at 9:33 am

      Jis tarah namaz ibadat hai, aur uski ijtimaiyat muslamanon kai hukmaranon ki zimmadari hai, aur agar Muslaman hukmaran us zimmadari ko ada na karain ya ghair muslim hukmaran hon, tab bh yai ibadat ada karna infiradi tor pai musalmanon par farz hai.

      Ab agar musalman hukmaran zakat na lain ya ghair muslim hukmaran hon, us surat main infiradi tor pai toh zakat daini paray gi har musalman ko, ab yai banday ka apna ijtihad hai kai woh ghair muslim hukmaranon ko zakat daina chahta hai ya nhi, agar ghair muslim hukmaran wohi kaam kar rahay hon us paisay sai jo Zakat kai masarif main aatay hain, toh zakat di jaa sakti hai, kyunkai is sai ibadat bh hojaye gi aur zakat ka maqsab bh poora hojaye ha.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member February 26, 2022 at 11:52 am

    JJazakomullah

  • Saiyed juned Alimiya

    Member February 26, 2022 at 7:57 pm

    Hamare yaha aese gair muslim grup he, jo quran unhe padhna aata he aur kuch had tak wo samjte bhi he, dawat bhi hum dete rehte he, namaz bhi aati he unhe, lekin tohid ke part me purani bato par hi mujadil he means sirk me dube huwe he, agar wo dosti yaari me yu kahe aaj me namaz padha deta hu to kya namaz uske piche padhni chahiye??? Ab tak hum log avoid kar rahe he, ye baat thi is wajeh se upar wale sawal jawab huwe he

    • Umer

      Moderator February 27, 2022 at 7:06 am

      Apka sawal theek sai samjh nhi aaya.

      laikin jitna main samjha hun us kai mutabiq agar saamnay waala musalman kehta hai apnay apko, toh har musalman kai peechay namaz hoo sakti hai, usnay apnay aqaed ka jawab daina hai aur aap nai apnay aqaid ka.

      Is sawal ka zakat sai talluq wazeh nhi hua. Thori tafseel darkar hai.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member February 27, 2022 at 7:50 am

    WWo log gair muslim he, dusare Sare mazhab ka knolege rakhate he, unhone ne osho rajnis ko bhi pada he, is liye har mazhab ki practice kar lete he, usme Islam bhi aa jata he, kyo ki namaz me imam to muslim hona chahiye na phir uske piche namaz padhege, jab is ibadat me sabhi muslim hone chahiye to, zakat jesi ibadat he, to kya usme bhi sab musalman nahi hone chahiye??

    • Umer

      Moderator February 27, 2022 at 8:02 am

      Namaz aur Zakat ada karna aik Musalman par farz hai. Namaz kisi bh paak jaga ada ki jaa sakti hai, issi tarah zakat kissi bh zarorat mand ko ada ki jaa sakti hai, uska muslim aur ghair muslim ka farq karna zaroori nhi. Han laikin ada karnay walay ka khud musalman hona zaroori hai, dono namaz aur zakat kai liya.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member February 27, 2022 at 8:13 am

    Mean koi gair muslim bhi namaz batore imam bankar padhate to koi baat nahi, uske museikana amal ka wo answer Allah ke ya dega kya aesa samjana chahiye??

    • Umer

      Moderator February 27, 2022 at 8:14 am

      Aik shaks jo apnay aap ko khud ghair muslim kehta hoo, uskai peecha bhala namaz kaisay hoo sakti hai?

  • Saiyed juned Alimiya

    Member February 27, 2022 at 8:18 am

    JJazakomulllah

You must be logged in to reply.
Login | Register