Forums › Forums › Islamic Sharia › Madhi And Incontinence
-
Madhi And Incontinence
Posted by ashif ahmed on March 8, 2022 at 10:59 amassalam alaikum
roj subah farj ke aur kabhi kabhi johar ke waqt par jab neend se uthta hu toh mera madhi kharij hota hei aur kapdo me bhi laga rehta hei saramgah ko toh dhoya ja sakta hei par roj roj kapda subah uth kar dhona bohot problem hota hei aur waswasa ki wajeh se mujhe bohot der lag jata hei kapde agar dhone jaou pehle nal par kapde ko dhona phir jaha jaha Pani ke chite gaya usko dhona aur aise karke namaz ka chuth jane ka bhi khatra rehta hei aur aise karte karte hee sayad me bimar ho chuka hu Pani zyada Chu ne ki wajeh se he mera jukham aur Sardi jati hee nehi kya sirf jaha par dag ho madhi ka waha Pani ka chite marne se kafi hoga mere sawal yeh tha
aur agar nehi toh roj roj thik se dhone par bohot pareshani hoti hei kya koi asani hei Islam me is mamle me mei bohot depression me chala Gaya hu is wajah se aur bohot tension me hu kabhi kabhi hota tab bhi thik tha par roj roj
bohot problem hota hei aur madhi roj kharij hota hei nind se uthne ki bad kapdo me laga rehta hei kitna kapda change Karu roj agar koi asan tarika ya advice ho ya Islam me kuch asani ho toh bataiyega zaroor 😓😓
ashif ahmed replied 2 years, 1 month ago 2 Members · 26 Replies -
26 Replies
-
Madhi And Incontinence
-
Umer
Moderator March 9, 2022 at 4:06 pmaap sirf jahan pai dagh hai us jagah ko saaf karlain toh kaafi hai, rooz rooz kapray dhonay ki zarurat nhi.
-
ashif ahmed
Member March 10, 2022 at 2:25 am@UmerQureshi koi tariqa hei kya kyki ek he bat hoti hei bohot mushkil hota hei madhi ki dag dhone se pani ke sprinkle wapas Pak kapdo par ata hei phir Pak kapde bhi napak ho jata hei aur tirmidhi mei bhi ek hadith hei no 115 jisko saikh albani ne Hasan kaha hei yaha per ek sahabi ko madhi ke problem hota hei jab Muhammad s a w ko pucha toh kapdo ki bat per nabi s a. w kaha ki Pani ke chitein mar lo jaha par madhi lag gaya ho kapdo par war aur kar wazu karlena kafi hei.
kya yeh logical nehi hei kya yeh ribayat thik hei please batiye
-
Umer
Moderator March 10, 2022 at 6:40 amAgar daagh geela hai toh pani maar lain us jaga aur agar khushk hogaya hai toh bas haath sai khurach kai saaf kardain, apnay apko zayada takleef main mat daalain bilawajah. Neechay dee gae rawaiyaat ka mutala karain:
https://sunnah.com/ibnmajah:537
-
ashif ahmed
Member March 10, 2022 at 11:05 am@UmerQureshi bohot bohot sukriya
-
-
ashif ahmed
Member April 27, 2022 at 12:54 pm@UmerQureshi meine aj thoda dekha tha madhi kharij honi ki bimari ke bare me pata chala yeh koi bimari nehi hei aur yeh normal aur ek taraf se healthy hei
kya madhi ka napak hona rasullah se sabit hei kyki yeh bohot logo ka roj Bina wajeh bina kisi sexual thoughts ke anein ke bagair khuda na khud discharge hota hei aur subah ke waqt toh mera roj yehi problem hota hei agar yeh bimari bhi nehi hei normi hei toh isko har bar saf karna problem ho jata hei ..
aur jaise ki me ek OCD ma pateint hu mere liye aur bhi dikkat hoti hei
kya koi ribayat hei jisme isko napak kaha gaya hei aur agar napak hei toh kya jaise ki meine uper ek hadith pesh kiya tha jisme sirf pani ke cheithein us jaga par marne ke liye kaha gaya waisa karna kafi hei ya phir usko dusre napaji jaise dhona chahiye waisa dhona hoga lekin yeh hadith bohot logical lagta hei agar bimari bhi nehi hei yeh aur normal hei toh pani ke cheithein marne he thik hei
-
Umer
Moderator April 29, 2022 at 5:18 amIsko napak kehnay kai liya kisi Hadith ki zarorat nhi hai, insan ki aqal is main sahi rehnumai karti hai kai isko napak hi samjha jayega.
Asool kai liya daikhain:
Yai faisla apko khud karna hai kai aaya yai apkai ikhtiyar sai bahir hai aur itni dafa hoo raha hai kai is sai ghair mamooli mushaqqat hoo rahi hai aur isko incontinence ki category main daala ja sakta hai ya nhi.
-
-
ashif ahmed
Member April 29, 2022 at 5:27 am@UmerQureshi kya agar madhi ki bimari ya roj subah garments me lag jata hei toh usper pani ke chitein mar Lena kafi hoga hadith ke mutabiq..?
-
Umer
Moderator April 29, 2022 at 5:34 amJi kafi hoga:
Agar daagh geela hai toh pani maar lain us jaga aur agar khushk hogaya hai toh bas haath sai khurach kai saaf kardain, apnay apko zayada takleef main mat daalain bilawajah. Neechay dee gae rawaiyaat ka mutala karain:
https://sunnah.com/ibnmajah:537
-
-
ashif ahmed
Member May 5, 2022 at 3:48 am@UmerQureshi is mamle me akhri sawal subah uthkar kapdo ko check karke madhi kaha kaha laga hei yeh bata chal jata hei per thigh aur dusre body parts me kaha kaha laga hua hei yeh bilkul pata nehi chalta kyki dry hone ke bad kapdo per toh dikh jata hei per body me malum nehi padta hei kahi per laga hua hei ya nehi .?
-
Umer
Moderator May 9, 2022 at 3:56 pmAgar wasuq sai pata chal jaye toh jism ko wahan sai dhoo lain aur agar koe asar na milain jism par toh dhonay ki zarorat nhi.
-
ashif ahmed
Member May 9, 2022 at 4:12 pmwasuq matlab aur pata chal jaye toh kya waha per bhi Pani ke chitein marna kafi hoga ya wet clothes se wipe karde aur zahri asarat ko khatam karna kafi hoga …? aur jahri taur par dikhai na de aur madhi body per lagne ki bad dikhai deta bhi nehi hei tab ho sakta hei kahi per laga hua ho tab kya unhein ignore kar du kyuki bata hee nehi chal raha hei
-
Umer
Moderator May 9, 2022 at 4:17 pmAgar itna pata hai kai body pai laga thaa ya apkai majuda halat main apko yaqeen ki had tak pata hoo kai body pai laga hi hoga, toh bas us hissay ko (jo qareeb ka area hai) pani sai ya wet cloth sai wipe kar lain.
-
-
ashif ahmed
Member May 10, 2022 at 10:46 am@UmerQureshi pani se dho lu matlab waha par bhi hadith me jaise kapdo par pani chitein mar lene ki bat kahi gayi hei body parts me bhi pani ke chitein mar Lena bhi kafi hei .. ya wet clothes se wipe bhi kar sakte hei
-
Umer
Moderator May 10, 2022 at 6:33 pmDono main sai jo aap kai liya karna asan hoo aap woh kar saktay hain.
-
-
ashif ahmed
Member June 19, 2022 at 6:50 am@UmerQureshi ek confusion hei is mamle
* jaise ki apne kaha ki geela ho toh pani mar le toh kafi hoga magar confusion is bat ka hei agar khusk o tab bhi pani mar le toh koi problem hoga .. ya phir khusk hone ke bad khuraj kar saaf karna hee hoga aur ek sawal in baton se lag raha hei ki yeh minor napaki hei kyuki isko baki napaki tarah dhona nehi hei kya yeh sahi hei kyuki me confuse ho jata hu ki isko agar sirf pani ko chitein mar Lena kafi hei toh iska toh iska toh asarat thoda bohot rahega kyki nichor kar nehi dhoya isiliye.
toh me in baton ka tension nehi lu ki nichor kar nehi dhoya toh asarat reh jayega pura saaf nehi hoga .insab baton ko ignore kar du toh koi galati toh nehi hogi kyki hadith aur logical bhi hei ki sirf chitein mar lo … agar sirf is par amal karke paak samajh lu agar asrarat reh bhi jaye toh kya koi galti hogi and agar vaginal discharge agar napak nehi hei toh yeh napak kyo hei ulma aksar usko dhona zaroori nehi hei keh dete hei
-
Umer
Moderator June 20, 2022 at 6:13 amKhushk hoo ya geela, dono surat main aap pani sai saaf karlain, yai kaafi hoga.
Phir bh agar kuch asrat reh jayne toh us main apka qasoor nhi.
Deen main sirf napaki ko saaf karna hai, laikin woh safai kaisay hasil karni hai is main deen nai kuch lazim nhi kiya balkay isko insan ki apni fitrat aur apni tarjeeh par chor diya hai.
Chunkai kuch qisam ki napaki kai baray main hum zayada karahat mehsoos kartay hain toh usko zayada achay sai dhoo laitay hain aur kuch main kam karahat mehsoos kartay hain toh usko halka dhootay hain. Baharhal chahay halka dhoya jaye ya zayada, asal maqsad hasil hoo jata hai dono soorton main.
-
-
ashif ahmed
Member June 20, 2022 at 11:03 ambaat samajh aa rahi hei lekin mera sawal actually us hadith ke mutabiq tha chunaki woh hadith me aya ki chitein mar lene se bhi ho jayega aur yeh hadith sahi bhi hei aur logical bhi par bat yeh aagayi ki agar chitein marne ke bad bhi kuch asarat bad me dikh Jaye aur tab bhi paak hee samajhna chahiye ya nehi kyuki sirf chitein marne ki bat kahi gayi hei
-
Umer
Moderator June 20, 2022 at 12:56 pmPaani sai saaf kar lainay kai baad bh agar kuch asraat apko nazar aayne toh ussay ignore kar dain.
-
-
ashif ahmed
Member September 29, 2022 at 1:21 amsorry yeh sawal mene pehle hee pucha tha par
asal masle ko direct puchta hu pani se saaf karle matlab mene pucha tha apse ki jaise ki hadith me hei ki pani ke chitein mar lo lekin uske bad bhi kuch reh jaye toh
mein chitein marne ki bat kar raha hu
ap pani se saf karle keh rahe the toh confusion ho raha tha kyuki yaha par mein jaise napaki ko normally dhoya jata hei uske bare me nehi puch raha hu umid hei apko samajh aya hoga mera confusion
-
Umer
Moderator October 2, 2022 at 2:36 pmAgar apko mehsoos hota hai chintain marna kafi hai toh usi par iktifa karain aur agar paani sai saaf karna zayada behtar lagta hai toh woh kar lain. Yai faisla apko karna hai kis kis kisam ki napaki hai aur us par konsi safai zayada behtar hai. Hadees main chunkai ravi kai alfaz aur uski samajh dakhil hoo jati hai toh us sai asool nhi nikalnay chaiyain, us sai itlaqi cheezon ko samjhnay main madad hasil karni chaiyai.
-
-
ashif ahmed
Member October 2, 2022 at 7:35 pmshukriya mujhe yeh ribayat ki batein logical lagte hei kyuki deen me koi mushaqqat nehi hei aur yeh madhi wagerah hamari ikhtiyar se bahar hei toh bar bar dhona mushaqqat me dalna hoga
-
ashif ahmed
Member October 2, 2022 at 10:24 pmusool toh paki hasil karna hei lekin
jab mushkil ho tab toh ibadat mein bhi allah ne asani ki hei thik kya is mamle me bhi asani karna sahi hoga sayad chiteein bhi isiliye marne ki bat ayi hei kyuki bar bar dhona mushaqqat hota hei aur usul toh yehi hei hei ki napaki ko saf karna chahiye jis tarah ki napaki ho usko waise saf karna chahiye lekin hadith me jo Aya hei kya woh logical nehi hei asani ke liye kyuki sirf chiteein marne par asar toh reh hee jata hei ho sakta hei is mamle asani kiya hei kyuki deen mei sakhti nehi hei
-
Umer
Moderator October 3, 2022 at 10:05 amApka ishara kis riwayat ki taraf hai, woh rawayat share karain please.
-
-
ashif ahmed
Member October 3, 2022 at 10:10 amChapter 1 The Book On PurificationBook Jami at TirmidhiHadith No 115Baab Taharat Ke Masail
Sahl bin Hunaif said: I suffered from a severe and troubling case of Al-Madhi. I was performing Ghusl often because of it. So I mentioned that to Allah’s Messenger and asked him about it. He said: You only need to perform Wudu for that. I said: O Messenger of Allah! How about when it gets on my clothes? He said: It is sufficient for you to take a handful of water and sprinkle it n your garment wherever you see that it has touched it.
-
Umer
Moderator October 3, 2022 at 10:22 amHe was suffering from severe case of madhi so more relaxation was advised to him.
The usual practice is that if it is dry then scraping is fine and if it is wet then washing that portion is fine. However, sprinkling can also be done.
-
-
ashif ahmed
Member October 3, 2022 at 10:24 amthank you
Sponsor Ask Ghamidi