Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Zakat On Plot Or Savings Kept For Future Needs

Tagged: 

  • Zakat On Plot Or Savings Kept For Future Needs

    Posted by Saiyed juned Alimiya on March 11, 2022 at 8:13 am

    ZZarurat se jayda maal par zakaat nikalo, bachche chote ho feature ki educational ke liye pesa chahiye to aaj koi plot mean zamin lekar rakhe to uski zakaat deni padegi, bachiyo ke naam par koi plot le liya to us par zakaat deni padegi, isi tarah zarurat ko mutayan kese kare, criteria kese banaye???

    Umer replied 2 years, 7 months ago 2 Members · 13 Replies
  • 13 Replies
  • Zakat On Plot Or Savings Kept For Future Needs

    Umer updated 2 years, 7 months ago 2 Members · 13 Replies
  • Umer

    Moderator March 11, 2022 at 5:22 pm

    Is main diya gaya Ghamidi Sahab ka jawab sun lain:

    Discussion 65386 • Reply 65399

    Discussion 65386 • Reply 66151

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 11, 2022 at 9:54 pm

    Jazakomullah,bhai mere do ladke he, mene in dono ke bare me higher education ke bare me socha he abhi woh 10 years ke he, ab me inke name par ek ek plot lekar rakh du, ke ye plot 15 year ke baad jan ye dono young ho jayege tab us time ke education ya koi etc expen me kaam aayege, ab ye question ye ke, aajse 15 years tak har saal muje ye dono plot me zakat deni padegi ya nahi

    • Umer

      Moderator March 12, 2022 at 7:52 pm

      Zaati zaroorat kai asason par zakat nhi hoti. Zati zaroorat main haal aur mustaqbil dono zarooriyaat aa jati hain. Agar aap apna larkon kai mustaqbil kai zaroori ikhrajaat kai liya paisay rakhna chahtay hain, toh bas yai daikh lain kai zaroorat asli hoo, zaati noiyat ki hoo, aur uska istemal mustaqbil main mutaiyan hoo. is soorat main woh zakat sai mustasna hoo jayega. aur agar agay jaa kai apka irada badal jaata hai, us surat main us pai zakat lago hona shuru hoo jayegi. Bas yai faisla apko karna hai naik niyyati sai, khuda kai hazor jawab dahi kai ehsas kai saath.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 12, 2022 at 8:29 pm

    Jazakomullah, bhai ek baat ye bhi thi ki, land ki value barkarar rakhne ke liye usi land ko sell & bought karke feature ke inflation ko counter kar sakte he, taki capital badh sake, aim to children ka features ka hi ho??

    • Umer

      Moderator March 12, 2022 at 8:31 pm

      Ji agar maqsad wohi hai toh kar saktay hain.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 12, 2022 at 8:32 pm

    JJazakomullah,

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 12, 2022 at 8:42 pm

    BBhai during this period koi family me problem aa gayi maslan koi mejor operation, ya me karz dar ho gaya etc, to kya ye lend ko cell karke uske money ko use kar sakte he? Kya is se aim badal jayega??

    • Umer

      Moderator March 12, 2022 at 8:56 pm

      aim toh badal jayega, laikin chunkay zaroorat zaati hai, toh istasna lagu hoo sakta hai. Laikin yai sirf majboori ki halat main hi hoo sakta hai, pehlay sai sooch kar aisay karna yaqeenan khuda ko dhoka dainay ki kosish hai.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 12, 2022 at 9:46 pm

    MMajburi ki haalat mean us time me mere paas, operation ya karz ke liye money ke name par kuch bhi savings na ho? Aesi majburi ho tab ye lend cell out kar sakte he? Isko kya is tarah samje?

    • Umer

      Moderator March 12, 2022 at 9:56 pm

      ji

  • Saiyed juned Alimiya

    Member March 12, 2022 at 10:00 pm

    JJazakomollah 100 times,

  • Saiyed juned Alimiya

    Member April 3, 2022 at 11:14 pm

    Kya ZZakaat apne khud ke mother & father ko nahi de sakte? Second one apni bacho ko bhi nahi de sakte? Aesi koi baat he, agar he to iski illat kya he?

    • Umer

      Moderator April 4, 2022 at 4:07 pm

      Is sawal ka barahiraast talluq upar waalay sawal sai nhi hai, is liya naya thread banaiyai is sawal kai liya:

      mukhtasar jawab kai liya mulahiza hoo:

      Discussion 66726 • Reply 66743

You must be logged in to reply.
Login | Register