Forums › Forums › Islamic Sharia › Purification In Washroom
Tagged: Tazkiya
-
Purification In Washroom
Posted by ashif ahmed on March 12, 2022 at 1:22 pmassalam alaikum
mera ek bohot bara problem hei
jab mera chota bhai toilet jata hei toh woh toilet karte time kabhi tiles ke uper thoda sa napaki laga rehta hei meine use bohot bar kaha hei ladai ho gaya bohot lekin woh in sab baton ko sayad care nehi karta aur jab bhi bathroom jata hei toh stool thoda ja tiles me 1 2 spots laga rehta hei aur jab bhi mei toilet jata hu toh kabhi kabhi thoda Pani Baha deta hu phir mujhe woh spots dikhta hei kya thoda sa napaki bohot zyada Pani us napaki ko jo touch hua hoga kya napak ho jayega kyuki napaki thoda sa hota jab bhi aisa hota hei aur pani jab unse touch hokar wapas mere taraf ata hei toh uska colour bhi change nehi hota lekin bata nehi kya sirf touch ho jane per thode se napaki per Pani napak hoga ya nehi mera bohot bara problem hei aisa lagta hei ki allah ka ajab aa raha hei mujpar aur mere bhai mera khuda dusman lagta hei kyki bohot mahino se yehi bol raha hu per sunta nehi hei mere is bat ko
ashif ahmed replied 2 years, 1 month ago 2 Members · 28 Replies -
28 Replies
-
Purification In Washroom
-
Umer
Moderator March 12, 2022 at 9:04 pmApka theek sai paani baha daina kaafi hai, us behtay paani ka apko chu jaanay sai aap napaak nhi hotay.
Yai itna bara masla nhi hai, zayada bara masla apka apnay chotay bhai sai rawaiya hai. Kosish karain kai apnay choti bhai sai achay ikhlaq sai paish aayen, jis ikhlaq ki hamain deen main hidayat dii gae hai.
-
ashif ahmed
Member March 12, 2022 at 9:10 pm@UmerQureshi shukriya matlab mein bohot frustration me agya tha isiliye shukriya mujhse bohot galti hota rehta hei napaki ki ke waswasa ki wajeh mujhme chirchira pan a gaya tha sukriya apka reply ka jazakallah
-
-
ashif ahmed
Member October 1, 2022 at 1:27 pmactually woh napaki darasal hard substance hota hei Mera problem yeh hei ki kyki mei normally toilet jakar farig hone ke bad jab isnjija karta hu tab thoda Pani tiles me baha deta hu lekin kabhi kabhi tiles me kuch napaki ki sports rehta hei Jo hard ho chuka hota hei aur woh stool hota hei Jo ki sukh cuka hei aur jab mein anjane mein pani bahata hu tab najar us par padti hei kya woh pani jo uc shoti si spots ko tauch karke beh raha hota hei kya woh napak hoga
-
Umer
Moderator October 3, 2022 at 9:53 amBehtar toh yahi hai kai farsh ko saaf rakha jaye aisi napaki sai. Laikin agar woh sookh gaye hai aur uskai agay muntaqil honay ka waisay khadsha nhi raha toh koe pareshani ki baat nhi.
-
-
ashif ahmed
Member October 3, 2022 at 10:22 amactually substance hard hota hei toh agar mei anjane me pani baha du aur usko tauch karke woh spread toh nehi hoga kyoki thoda sa hee hota hei 🌑 itna amount hoga jo ki dry hota hei aur behte pani ka colour bhi change nehi dikhta
-
ashif ahmed
Member October 3, 2022 at 10:27 ambas yeh Janna tha agar pata na chale napaki mix hui hei ya nehi ya asrat najar na aye toh us behte hui pani meri feet ko tauch karne se woh napak toh nehi hoga ya thode chetein lag jaye tab bhi koi problem toh nehi hei wapas dhone ki agar malum na chale asrat ya napaki ki mix hone ki
-
Umer
Moderator October 3, 2022 at 11:29 amagar aap nai shoes pehnay huay hain toh phir kis bat ki pareshani hai apko?
-
-
ashif ahmed
Member October 3, 2022 at 1:05 pmmatlab Ghar ke log
kabhi shoes nehi pehente hei
aur agar spread hota rahega toh napaki felne ka dar laga rehta hei aur
meine isse pehle jo pucha tha kya woh sahi tha agar behte hue pani me agar us napaki ka asrat nehi mehsus smell ho ya dikhein nehi colour wagera toh kya ignore kar sakta hu waise bhi napaki thodi si hoti hei
-
ashif ahmed
Member October 3, 2022 at 11:18 pmpareshani is wajah se hoti hei kyuki jab usi mein hum usi toilet mein peshab aur 2 number karte hei toh aur toilet bhi Desi toilet hei toh thodi chitei lag jati hei aur farsh par pani laga rehta hei aur woh Dry impurity par bhi pani baha hua hota hei Jo ki toilet seat ke pas hei tkabhi kabhi laga hota hei toh kabhi buttock par bhi tauch hota hei farsh jo ki geela hota hei halaki direct napaki se tauch nehi hota hei just tiles pe laga pani ka geelapan se hota hei aur toilet ka aur us farsh ka level thoda high hei toh agar tiles mei zyada pani baha diya toh woh us napaki ko tauch ho hokar pani behkar niche farsh se behkar darwaje se behjata hei aur joh ke jaha se bathroom jane ke raste se beh kar bahar chala jata hei aur bathroom aur toilet hamere Ghar ke andar hee hei toh usi raste se bathroom ana jana hota hei isiliye agar napaki agar spread hoga toh bohot problem hogi lekin itni choti si napaki lagta nehi ki itni pani ko napak kar sakta hei bhi doubt ho raha hei isiliye clear karna chahta hu is masle ko aur waise bhi hanafi school of thought me dirham se kam napaki ko ignore Kiya ja sakta hei aur baki maslakh me bhi bade bade Alim kehte hei ki OCD wale marij aise chizo ignore kar sakte hei
phir bhi yeh mankar chalne me koi Problem nehi hogi ki napaki jaha lagi hei sirf woh jagah napak hei aur pani beh jaye toh agar jis jagah par uska asarat najar aye
agar I hope isko ignore karne par koi problem nahi honi chahiye kyoki gharwalo me se kiske wajeh se aisa hota hei meine bohot bar samjhaya hei par koi faida nehi hua
-
Umer
Moderator October 7, 2022 at 6:26 pmJitna mujhay samjh aaya hai us sai yahi lag raha hai kai direct napaki nhi hai to is surat main wohi asool lagu hoga kai shak ko ignore karain jab tak apko waqae yaqeen na ho jaye kai koe direct napaki lag gae hai.
-
-
ashif ahmed
Member October 7, 2022 at 8:32 pmdirect napaki toh nehi hei
meine apse yahi pucha tha ki agar thoda se dry human faeces spot ko behta hua pani tauch kare jo tiles ki upar ho toh us behte hue pani ke bare me pucha jo ki dikhne me saaf hota hei par phir sirf tauch hone se woh pani napak toh nehi hoga agar smell aur colour change na ho kyuki pani ki me kuch changes nazar nehi dikhta halaki bad me woh napaki ko tissue se saf kar deta hu aur phirse pani baha deta hu .
1.lekin jis sij se problems means doubt hota hei woh pehle ke behte huye pani se hei jo ki us napaki ke spot ko tauch karke behte hei halaki woh pani me kuch changes nazar nehi dikhta hei pani ki jaise hee nazar ata hei us pani ko tauch hokar wapas sandals par lagta hei umid hei apko samajh aya hoga ab thik se
2. aur waise bhi agar aisa bar bar hota rahe toh thoda bohot halki si chiteein lag bhi jaye toh mujhe isse rihai mil sakti hei …? kyki direct pata nehi chalta kyki colour wagera change nehi hota hei ..
-
Umer
Moderator October 7, 2022 at 8:38 pmYai masla direct napaki ka nhi hai, toh is main insan ka apna ikhtiyar hai kai woh apni tabeat kai mutabiq faisla karay. Aap chahain toh isko ignore bh kar saktay hain.
-
-
ashif ahmed
Member October 9, 2022 at 6:05 pmek aur bat puchna tha
1.agar napaki ka pura yakin na ho chizey paak hoti hei .
halaki ho sakta hei ki napaki ho
agar yakin na hone par mei usko ignore kar du taki doubts na aye jehen me . toh yeh galat hoga.
2. thik usi tarah peshab karte waqt hamein pura yakin toh nehi hota hei ki chiteein lagti hei ya nehi par doubts hota rehta hei aur kabhi kabhi bohot strong feel hota hei ki kuch chiteein gira ho pero par lekin tauch karne par dry hee hota hei
hosakta hei ki bohot halka chiteein ho joki tauch karne par ya akhon se dekh nehi sakte is mamle bhi ignore kar sakte hei kyuki microscopic level me nehi jakar dekha ja sakta hei par
par mene ek test liya tha jaha par thik waisa hee feel hota hei agar pani ki chiteein Mara jaye pair par lekin tauch karne par wetness ka difference pata chalta hei
lekin toilet par jo feel hota hei feel toh milta julta hei lekin tauch karne par dry rehta hei
-
Umer
Moderator October 11, 2022 at 4:43 pm1. Apko yahi karna chaiyau, napaki ka yaqeen na honay ki surat main ignore hi karna chaiyai.
2. Agar dry hai toh ussay bh ignore karain beshak feel kuch bh hoo.
-
ashif ahmed
Member October 14, 2022 at 11:24 pmek aur sawal meine suna hei in mamlo me shetan bhi waswase dal saktein hei kya shetan namaz aur in sab chizon me waswase dalte hei ya dal sakta hei … jisse tang akar log ibdat aur allah ke raste se muh mod Lee.?
-
Umer
Moderator October 19, 2022 at 12:25 amShaitan waswasa zaroor daal sakta hai laikin woh insan kai irada-o-ikhtiyar par ghalib nhi aa sakta. Agar aap sirf yaqeen kai asool ko apna lain jo upar bayan kiya gaya hai, toh koe bh is kisam ka waswasa apko tang nhi karsakta.
-
-
ashif ahmed
Member October 18, 2022 at 3:23 am@UmerQureshi sab kya is baat me koi sachai hei clear kaede toh meherbani hogi jo meine is tarah ke mamle me sheitan(iblis) ko lekar pucha hei
-
ashif ahmed
Member October 19, 2022 at 1:44 amji shukriya
-
ashif ahmed
Member October 19, 2022 at 1:54 amek akhri sawal jaha tak me samajha hu in mamlon me bhi allah ne niyat ke uper faisla karega baki Zahiri tor hamare daira aur jitna ham kar sakta bina taklif aur boj ke utna hee sawal hoga aisa koi rul nehi hei ki 100% saaf rehna hee padega chahe jo bhi ho jaye
aisa mujhe isiliye laga kyuki tayammum ki bare jo hei agar pani na ho toh jahir so bat hei uske kapdon me bhi napaki lagi hogi ya body ke parts me agar nightfall ya wife ke sath raat bitiya ho toh .
-
Umer
Moderator October 19, 2022 at 8:50 pmJi bilkul sahi kaha aap nai.
hamara kaam sirf apni istitat tak kosish karna hai na kai is kai peechay lag jana hai 100% safai hue hai ya nhi.
-
-
ashif ahmed
Member November 2, 2022 at 9:54 am@UmerQureshi mujhe sabhi sawal o jawab aplogo ne de Diya hei par ek aur important jab mein doubt hone par ignore kar dena chahiye aur check karne ki bhi zarurat nehi hei .
aur isse sare pareshani aur iss bimari ka hal bhi yehi hei lekin jab mei aisa karu tab kya mein aisa shoch sakta hu ki mujhe jab tak yakin na ho tab tak mujhe koi check karne ki aur usko dhone ki zarurat nehi hei chahe napaki asal me lag bhi gaya ho toh kyuki hamein pura yakin nehi ho raha hei toh Shaq ko lakar sab kuch barbad nehi karna chahiye jab tak yakin na ho hamein bad yakin aur doubt par dekhna hei results jo bhi reality me matlab ho sakta hei napaki lag gai ho aur hamein pata nehi chal raha ho par ya ho sakta hei lag bhi gaya ho results asal mei kuch me ho sakta hei allah ke samne hamein ba sakh ko ignore aur yakin par action Lena hei …kya aisa shochna sahi hoga…? sorry yeh sawal pehle hee kar lena chahiye tha
-
Umer
Moderator November 3, 2022 at 4:34 amJi aisa hi hai, farz karain agar kisi aisi chez ko shaq ki wajah sai ignore kiya hai laikin woh asal main wahan napaki thii, toh us par insan jawab dai nhi hoga, jawabdahi usi par hai jo hamaray ikhtiyar aur hamaray ilm main thaa laikin phir bh hum nai koe ghalti ki us ko yaqen sai jannay kai baad.
-
-
ashif ahmed
Member November 3, 2022 at 5:32 amji yeh tariqa hee sahi hei par ek confusion ho raha hei jaise ki kuch ribayat mein aya hei ki peshab ke katro ka behen hone par sakh ko dur karne ke liye pani ke chiteein mar le taki wehem hone par usko yeh lage ki yeh pani hei
thik usi tarah sajda e sahw namaz ke liye yaha par toh sakh par amal ho raha hei usko dur karne ke liye yaha par sakh ko kyo ignore nehi kiya gaya kyo extra Amal karne ka hukum diya gaya sakh hone par…?
-
Umer
Moderator November 3, 2022 at 5:58 amUski wajah yai hai kai namaz Allah kai hazur hazri hai aur yai uska taqaza hai kai wahan insan ka dhaiyan namaz ki taraf hoo, isi wajah sai wahan agar shak hoga toh us shak ko poora kiya jayega aur phir sajda e sehav kiya jayega.
Jabkai safai ka maamla namaz sai mukhtalif hai, yahan aslan aisa koe tazaqa nhi jo namaz main hain is liya yahan yaqeen ki bunyad pai faislay hon gai.
-
-
ashif ahmed
Member November 3, 2022 at 6:35 amji shukriya ab sab clear ho gaya bohot bohot shukriya allah apko ilm aur Amal me aur Barkat de
-
ashif ahmed
Member November 5, 2022 at 10:40 pmaur ek akhiri saawal agar kabhi in mamlo me doubt ho chiteein lagne ki ya kisi napaki ko taouch karne ki feel
ho agar feel strong bhi ho mujhe kya check karna chahiye agar mujhe yakin na ho matlab check karna in sab mamlo me ya behtar hei ignore kar du .. yeh bas akhri sawal tha kyoki doubt hone par bar bar check karna chahiye ya nehi yeh nehi bata khas karke jab doubt strong ho ..
-
Umer
Moderator November 7, 2022 at 1:36 amAgar yaqeen hai ya yaqeen karnay ki koe wazeh wajah mojud hai toh check karain warna mehaz shak hai toh ignore karain.
Aam tor par agar apka tajarba yahi batata hai kai strong shak par bh ghalat hi lagta hai apko toh phir ignore karain aur agar apka tajarba batata hai kai jab apko strong shak hota hai toh woh zayada tar sahi hota hai toh phir check kar lain.
-
-
ashif ahmed
Member November 7, 2022 at 5:42 ambohot aacha tariqa bataya apne shukriya
Sponsor Ask Ghamidi