Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Hadith Qirtas / Hadith E Qirtas / Hadees E Qirtas

  • Hadith Qirtas / Hadith E Qirtas / Hadees E Qirtas

    Posted by Anwar on April 5, 2022 at 11:22 am

    Ek hadees mai aap Sallahu Alaihi Wasallam ke ikhtelaf ko dur karne ke liye pen lane ki hadees share kijiye is par Ghamidi Sb ne kuch wajahat ki ho toh bhi share kijiye

    Anwar replied 2 years, 7 months ago 4 Members · 12 Replies
  • 12 Replies
  • Hadith Qirtas / Hadith E Qirtas / Hadees E Qirtas

    Anwar updated 2 years, 7 months ago 4 Members · 12 Replies
  • Faisal Haroon

    Moderator April 5, 2022 at 6:59 pm

    I’m not sure what narration you might be referring to and what your question is in that regard. Please clearly state your question and if it’s regarding a hadith then please share a reference to it.

    • Anwar

      Member April 6, 2022 at 12:17 am

      Rasulullah saw ne apki wafat ke kuch qabl jab aap beemar the sayydna Abu Baqr RA se qalam (Pen) lane ka farmaya tab Sayydna Abu Baqr RA ne kaha ke Allah ki Kitab Quran hamare paas hai aur Qalam nahi laai gayi…

      Ji is ahadeeth ke bare mai Ghamidi Sb ki koi wajahat ho toh bataiye

    • Faisal Haroon

      Moderator April 6, 2022 at 12:33 am

      Mere bhai ye hadees aap ko khan se mili? Please reference share kijiye.

      Sath hi apna sawal bhi bataye. Agar aik shakhs ne apnay dost se pen mangi aur uss ne nahi di tow iss mein Ghamidi sahab aap ki kya madad kar sakte hein?

    • Anwar

      Member April 6, 2022 at 12:39 am

      Zanab Mazrat magar Ahale Tashi yeh bayan karte hain ke us waqiye mai Qalam agar laa di jati toh Khilafat Sayydna Ali RA ke liye likh di jaati… Kisi program mai Ustad Ghamidi sb ne bhi is Ahadees ke bare mai kuch wajahat ki thi…

      Ji mujhe reference number yaad nahi hai…

    • Faisal Haroon

      Moderator April 6, 2022 at 12:43 am

      Ghamidi sahab iss bare mein bohot tafseel se bayan kar chuke hein ke hazrat Abu Bakr RA ko democratically chuna gaya tha. Khilafat koi personal maal nahi hai jis ki wasiyat ki ja sakay.

    • Anwar

      Member April 6, 2022 at 12:57 am

      Ji Shukriya

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar April 6, 2022 at 12:55 am

    Ye faisal nahi kia ja skta a Rasulullah ny pen and paper is liey mangwaya hoga kay wo Hazrat Ali ki khilfat ki wsiat krna chahatay thy. ye wo zubani bhi keh saktay thy. is waqaia kay bad bhi Ap kai din zinda rahay magr aesa kuch nahi farmaya.

    Wo koi waqti kafiat thi jis may ap ny pen or paper mangwaya k main aesa kuch likh deta hun ko tum gumrah no hogay. Qareen e qiyaas yahi hai k quran and sunnah ko mazboot pakarny ki wasiat ap krna chahatay hun gay. Quran kay baad aesa kon si bat ho sakti thi jo gumarhi sy bachai. or agar aesi baat zaroori thi or nabi ki hasiat sy ye ap ki zammadari thi ko ummat ko aesi koi baat btaey baghir na rahain jo un ki hidayt kay liey zarori thi.

    • Anwar

      Member April 6, 2022 at 12:58 am

      Ji Shukriya.. Is ahadees ka reference ho toh bataiyega

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar April 6, 2022 at 1:31 am

    Darj zail main aik link hai jis main is hadith kay tamam versions per baat ki gai hai.

    Link

    • Anwar

      Member April 6, 2022 at 1:32 am

      Jazakullahu Khair

  • Umer

    Moderator April 7, 2022 at 8:27 am

    For comments of Ghamidi Sahab, please refer to the following video:

    https://youtu.be/anoBC3W8bWY

    • Anwar

      Member April 10, 2022 at 9:17 am

      Bahot Shukriya Umar Sahab… Jazak Allahu Khair

You must be logged in to reply.
Login | Register