Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Animal Waste On One's Clothes

Tagged: ,

  • Animal Waste On One's Clothes

    Posted by ashif ahmed on April 9, 2022 at 7:47 am

    kya chidiya ki pakhana aur peshab napak hei …..? masjid me aksar chote chote chidiya pakhana karke chali jati hei aur yeh bhi bata nehi hoti hei paak hei napak hei logo ka uni gandagi per chala jata hei aur kapdo me bhi

    ashif ahmed replied 2 years, 6 months ago 2 Members · 15 Replies
  • 15 Replies
  • Animal Waste On One's Clothes

    ashif ahmed updated 2 years, 6 months ago 2 Members · 15 Replies
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar April 10, 2022 at 1:47 am

    Ji. ye napaak hai. Is ki miqdaar aksr kam hoti hai is liey log ziyada dhiyaan nahi daitay. magar is sy bachna chaey. kapron ya jism pr lag jaey to jhad kr ya dho kr hata dena chaeiy.

    • ashif ahmed

      Member April 10, 2022 at 2:01 am

      agar koi dusre kisi bhigi Hui kapde se saf karde agar nishani chala jaye toh kaafi hoga iska matlab pani se dhona shart nehi ..?

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar April 10, 2022 at 2:25 am

    Nijasat ka door hona zarori hia, chahay jhad kr ho, matti sy ragad kr ho ya pani sy

  • ashif ahmed

    Member April 27, 2022 at 12:41 pm

    @Irfan76 meine is mamle me dekha kyki hamere masjid me choti choti chiriya akein pakhana kar deta hei aur aisa hota hee rehta hei phir meine yeh bhi suna ki halal janwar ka peshab aur pakhana paak hota hei …?

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar April 27, 2022 at 10:35 pm

    Peshaab pakhaana sab ka napaak hi hota hai. Najaasat ki miqdaar Kam ya zyaada honay sy albatta ye farq kia jata hai ko njasaat km ho to forun dhonay ki zaroorat nahi taaham dho Lia jaey to acha hai. Lekin is main harj ho Kay baar baar aesa ho Raha ho to hr baar dhona zaroori nahi kukay Deen main sakhti nahi hai.

  • ashif ahmed

    Member April 28, 2022 at 10:05 am

    @Irfan76 aur jaise chipkali ,rats , kya 1. Inka bhi peshab pakhana napak hoga matlab yeh toh gharme atein rehte aur rokna bhi mushkil hota hei kya Inka bhi napak hota hei …?

    2. aur ek bat puchna tha ki apne kaha janwar o ka peshab pakhana bhi napak hota per bar bar koi chiz napak hona ka wajeh ban Raha hei toh har bar dhona zaroori nehi kyki deen muskil nehi hei toh meine bhi ek khud ek kiyas kar liya hei agar mere bhai ki wajeh se kuch chizein napak ho sakti hei jiska mujhe pata na ha toh bar bar dhona bhi mushkil hei aur zaroori nehi hei aur is wajeh se mere bimari ho sakta hei toh mujhe asan karna chahiye khudke sath aur aisa karne per mujhe bohot madad hoti hei

    3. iska matlab chahe koi chiz kitna bhi napak na ho agar bar bar apko pareshai ki Karan ban Raha hei toh usein bhi is ussul ke mutabiq ignor karna chahiye aur ignor kiya ja sakta hei ..?

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar April 30, 2022 at 4:11 am

    Napaaki tb mani jati hai jb ap napaaki ap kay notice main ae. is main andaazay lagaana khud ko shak main daalna hai. is say insaam khud ko mushkil main daal leta hai.

    hr cheez ka peshaab pakhaana napaak hai. km miqdaar main ho to aik hd tak usay gawara kia ja skta hai. is ka faisla admi nay khud krna hai

  • ashif ahmed

    Member April 30, 2022 at 6:41 am

    @Irfan76 iska matlab agar chahe koi dry napaki per hath rakh de aur thoda gila bhi ho jaise ki bachein bistar pe peshab kar dete hei agar hath napaki ka asarat jahir no ho smell colour wagera toh napak nehi keh sakte

    aur thodi bohot napaki gawara kiya ja sakte hei toh toilet ki waqt bhi jo mushkil hota hei jin napaki se khudko bachana kya woh bhi ignore Kiya jaa sakta hei

    thodi si chitein istinja se jo atein … pehle bhi bohot bar ap samjha chuke ho phir bhi ek bar aur clear kar lena chahta hu

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar April 30, 2022 at 3:20 pm

    Ji. Ye minor napaaki ignore krni chahesey.

  • ashif ahmed

    Member May 1, 2022 at 4:44 pm

    @Irfan76 apne jaisa kaha tha ki animal ke peshab aur pakhana napak hei

    ek aur akhri sawal hamare yaha bohot se dukan footpath pe hote hei aur kai murgi o ke dukane bhi hei jaha murgi ya jabah karke saaf karte hei waha murgi o ke pet me jo gandagi hoti hei ho sakta hei woh bhi saaf karta ho aur waha buckets me pani rakha hota hei waha bhi woh log sayad aaton ko bhi saaf karta ho aur pet ki gandagi wagerah lekin mene apne akhon se nehi dekha hei ho bhi sakta hei aur woh log dukane band karne ki bad woh pani footpath pe hee Baha deta hei kal me waha se guzar raha tha toh kuch chitein sayad mujper bhi lag gaya ho

    kya woh Pani napak hoga agar waha gandagi wagerah saaf karta hei toh halaki meine apne akhon se nehi dekha per chance ho sakta hei aur puchna chahiye agar chance hei lekin puchna bhi accha nehi lagta kyuki log mehnat se kam karte hei

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar May 1, 2022 at 10:27 pm

    JB take AP napaaki ko kapron ya jism per Laga hua dekaj na lain us wkt tsk kapron ya jism ko napaak na samjhaien. Or agar maamooli kism ki chentein per bhi jaien to anhein ignore kr dein.

  • ashif ahmed

    Member May 2, 2022 at 3:40 am

    @Irfan76 thank you brother

  • ashif ahmed

    Member June 10, 2022 at 8:48 am

    ek aur sawal jo jo insects ki faeces bhi napak hota hei kyuki unse bachna mushkil hota hei aur hota bhi bohot Kam mikdar mei hota hei aur bucket wagera me bhi aur aqsar yaha waha unka faeces gira hua hotey hei kya unko ignore kya Jaa sakta hei ..?

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar June 16, 2022 at 6:13 am

    Such tiny things are ignored. You know well with open mouth are exposed to birds faeces but the water is considered clean and Paak. in religion unavoidable and tiny things like this one your cited are ignored .

  • ashif ahmed

    Member July 5, 2022 at 10:48 am

    kya har Black colour ki spots napaki ma jayega kyki insects ke stool pata nehi chalta kabi kabi thoda smell se . pata chal jata hei kabhi smell wagera kuch nehi hota aur dikkhne me chize insects ki stool ki tarah dikhta hei kya insects ki stool ko ignore Kiya Jaa sakta hei 2nd question kya chiriya ke stool bhi ignor kar sakte hei mere masjid me yeh bohot gira hua rehta hei yaha waha

The discussion "Animal Waste On One's Clothes" is closed to new replies.

Start of Discussion
0 of 0 replies June 2018
Now