-
Obligations In Wuzu And Ghusal
* agar mera night discharge ho jaye ya koi agar biwi ke physical hone ke baad ghusal farz ho jaye toh kya usi waqt nahana zaroori hei aur maani kya napak hei ya paak hei .
* aur kya mani kharij hone ke baad peshab karna lajim hei kyoki meine suna tha ki agar peshab nehi karoge toh bad me agar peshab kiya aur thoda qatrat mani ke peshab ke sath nikal aya toh phirse gusal farz ho jayega
*wuju me kya nak me pani Chadana ya muh me pani Lekar kulla karna farz hei
mera ek ustad hei Jo ahnaf ke nuqta e nazar ko follow karta hei unhone kaha tha wuzu ke sirf 4 farz hei muh dhona hath dhona sar ka masah karna aur pero ko dhona
* hath aur pero kaha tak dhona zaroori hei ancle tak dhona hoga ya usse bhi bhi uper .
* mera darhi hei utna thickness nehi hei per utna thin bhi nehi hei agar kisike darhi ho toh kya usko pura jaga jaha darhi hei sab jagah ki roots tak pani pohchne tak dhona hoga
jaise ki ahnaf me koi kehta hei ki jiske thick darhi hei woh bas fingers se darhi ke andar hath se ek masah type karde per jiska thick nehi hei usko roots tak dhona hoga …?
Sponsor Ask Ghamidi