Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia How To Make Amends For Haqooq-ul-ibad Later In Life?

  • How To Make Amends For Haqooq-ul-ibad Later In Life?

    Posted by ashif ahmed on April 20, 2022 at 4:20 pm

    assalam alaikum

    1.agar koi insan past me logo ko bohot insult kar chuka ho aur ab usay galti ka ehsas ho par bohot logo ke sath abhi bat thik hoti hei per mafi nehi manga kabhi

    aur kuch logo ka pata nehi kaha rehte honge …? inme kaise sudhare apne galti ko

    2.

    koi koi logo ke sath aise bhi hota hei ki

    past me kisiko Paisa na de school life me tab usko uquq ul ibad ke barein bhi na bata ho 10 – 20 rupees woh logo se lekar deta nehi aur kabhi kiske haq ke paise sarart ke wajeh se Dene ke bhag Jaye . bachpan school ke time pe

    3. aur kuch logo per hath uthaya ho 😵

    gali di ho jin logo ka ab pata nehi ab kaha hoga kaise dhonde unka kya karein kaise mafi mange .

    4. aur kuch logo ka aisa bhi hota hei ki girlfriend boyfriend ki relationship me rehkar bad me chor dete hei .kyki woh pehle se hee pasand nehi hotein hei

    lekin koi physical relationship nehi hota kya ab unse bhi maafi manga padega per baat karne se phirse agar koi problem hone ka khtra ho aur baat bhi bohot pehle ki ho

    kya agar huququl ibad me try karne par bhi koi mafi ya apna haq ada na kar saka kya uske liye koi mafi ka imkan hei

    Dr. Irfan Shahzad replied 2 years, 8 months ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • How To Make Amends For Haqooq-ul-ibad Later In Life?

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar April 20, 2022 at 10:08 pm

    Bando Kay huquq Kay mamaly main ap wohi kr saktay Hain Jo mumkin ho. Baqi JB jb moka milay Mafi talafi krnay ki Koshish krni chahesey. Bachpan ki nadaani ki umr ki baton per zyada preshan hinay ki zaroorat nahi. Wo nadani ka wkt hota hai.

    Jin logo sy Mafi mangnay ka moqa na milay in Kay hq main Dua kr dia karein. Umeed hai kay Aakhrat main is Kay badlay ap ko Mafi mil jae ge.

    Nadaamat JB pedal ho jae or aadami JB apnay aamaal durust kr lay to Allah sy umeed Hoti hai ka Bandon sy bhi us ki maafi ka bandobast ho jae ga.

You must be logged in to reply.
Login | Register