Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Doubts About Impurity And Ease Provided In Religion As Opposed To Hardship

  • Doubts About Impurity And Ease Provided In Religion As Opposed To Hardship

    Posted by ashif ahmed on April 28, 2022 at 11:09 am

    Abu Huraira reported: The Prophet (sallallaahu ‘alayhi wa sallam) said, “The religion (of Islam) is easy, and whoever makes the religion a rigour, it will overpower him.

    kiya yeh ribayat sahi hei kahi per hei agar hei toh iska matlab kya hei

    surah baqarah ayat 185-186

    185 ka toh samaj agaya ki allah humper asani chahta hei aur roje ko bad me bhi pura ker lu …per 186 ka matalab kya hei thik se samjha nehi

    surah Nisa ayat 26-30

    26It is Allah’s Will to make things clear to you, guide you to the ˹noble˺ ways of those before you, and turn to you in mercy. For Allah is All-Knowing, All-Wise

    27And it is Allah’s Will to turn to you in grace, but those who follow their desires wish to see you deviate entirely ˹from Allah’s Way˺.

    28 And it is Allah’s Will to lighten your burdens, for humankind was created weak

    surah Nisa ke in ayat o ko padh kar aisa lag raha hei ki allah humper narmi chahta hei phir bhi agar koi fiqh ke tabir ke wajeh se khudko khwahish ke perwi kare toh allah gumrah kar dega

    29.O believers! Do not devour one another’s wealth illegally, but rather trade by mutual consent. And do not kill ˹each other or˺ yourselves. Surely Allah is ever Merciful to you.

    30.And whoever does this sinfully and unjustly, We will burn them in the Fire. That is easy for Allah

    aur in sab ko mila kar padhne per mujhe aisa samajh a Raha hei ki agar koi sakhti ki batein ho rahi ho jo quran wajeh taur per na bayan kar raha ho aur woh kisi fiqhi masla ho agar phir bhi mei khudper asani na karu toh mein gumrah ho sakta hu aur Allah humper bohot rehem karne wala hei hum logo per isiliye agar koi chiz aise ho jiske wajeh se mein apne Bhai ko thoda bhi taqlif du toh mein jahannam ja sakta hu

    meine in mamlon ko apne OCD ko lekar apne bhai ke sath hone wale mamlon ke sath relate kiya hei matlab mujhe agar napaki ki ke wajeh se problem ho Rahi ho jaise ki meine bohot bar discuss Kiya hei jisme doubts bhi hei napaki ko lekar ki mera bhai ki chizein napak rehti hei toh sayad iske tauch hone per napak hota rehta hei chizein per wajeh nazar aur smell nehi milta hei toh mujhe khudpar asani karni chahiye aur ignor karna chahiye aur agar chach me bhi napaki hogi kahi per toh bar bar ki taqlif hone ki wajeh se isko chor bhi sakta hu lekin aisa na karke apne bhai se ladta rahu aur Shaq bhi hota hei kabhi kabhi toh apne khwahish o ki perwi bhi karta rahu toh surah Nisa ke ayat 27 me jaisa bataya gaya hei mujpar allah naraj hokar gumrah bhi kar sakta hei aur ayat 28-30 me jaisa aya hei ab bhi mein itna asani hone waujud khudko bhi ppershani me dalu aur dusro ko dalu toh jahannam bhi ja sakta hu…

    agar mene jaisa samjha hei waisa thik hei toh mein khudper asani karna chahta hu aur in bar bar napaki ho bhi Raha hei tab bhi jitna ho sakein normally khudko perhej karu aur jinse Bach na saku unko ignore kar du bar bar pareshani me na dalu khudko aur Shaq doubts hota hei ya phir chances hota hei aur wajeh taur per napaki nehi dikhti hei tab bhi hei mujhe nazar andaaz karna chahiye agar hua bhi napak toh Allah maaf karega inshahallah

    agar mere samjhane me koi galti hui hei aur meine last me jaisa apnne app ko asani me dalni ki batein batayi jis tarah usme kya sahi galat hei samjhaye

    ashif ahmed replied 2 years, 8 months ago 2 Members · 2 Replies
  • 2 Replies
  • Doubts About Impurity And Ease Provided In Religion As Opposed To Hardship

    ashif ahmed updated 2 years, 8 months ago 2 Members · 2 Replies
  • Umer

    Moderator April 29, 2022 at 10:28 am

    Asif Sahab sawal muktasar aur wazeh rakhain gai toh jawab bh barwaqt aur sawal kai mutabiq diya jaa sakay ga.

    Aap nai is saaray maslay ko theek samjha hai. Aap ki agar niyat saaf hai aur apni taraf sai koe janbujh kai kotahi nhi kar rahay, toh phir koe kami paishi aisi reh jaye jo apkai ikhtiyar main nhi ya jis main aapko ghair mamooli mushaqqat hoo toh us par Allah maaf karay ga Insha’Allah.

  • ashif ahmed

    Member April 29, 2022 at 12:25 pm

    shukriya brother @UmerQureshi

You must be logged in to reply.
Login | Register