-
Kafir Word In Quran!
kya kisiko apne ilm ke binah par kafir kaha ja sakta hei jaise ki meine engineer Ali ko yeh kehte hue suna ki rasullah s.a.w ke waqt par kisi sahabi ne kisi dusre sahabi ko munafiq keh kar rasullah s a w se ijajat manga ki ap izajat de mein is munafiq ke gardan ura deta hu phir rasullah s a w ne mana kar diya aur kaha ki jane do warna log kehange Muhammad apne Sathi o ka hee qatal karwate hei exactly ribayat yad nehi par jitna thoda bohot yad tha bata diya ho sakta hei mere batane me galti hui ho par ap ko pata hoga mein konsi ribayat ki bat kar raha hu ab swal yeh hei ki us sahabi ne jo dusre sahabi ko munafiq kaha tha rasullah kyo usko tauba nehi karwaya agar hum kisi ko apne ilm ke binah par bhi kafir nehi keh sakte agar usi act ki wajeh se hamein lage ki woh hei .
2 nd ek aur bat hei imma shakiraam wa imma kafura iska matlab mein agar zyada chahu daulat ya kabhi kabhi aisa lage ki mujhe aur milna chahiye ya kisi wajeh se apne ma baap se mangta hee rehta hu jaise ke hair fall ki problem ho
aur dawah ke liye mein unse manga karu paise kya yeh bhi na shukri hogi
kyki hairs na bhi toh insan mar nehi jata bas khubsurati ke liye hee important hota hei aur is ayat ka matalab akhir hei kya imma shakiraam wa imma kafura
Sponsor Ask Ghamidi