Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia How To Deal With Doubts Regarding Impurity

Tagged: 

  • How To Deal With Doubts Regarding Impurity

    Posted by ashif ahmed on June 9, 2022 at 8:43 am

    mera Majid aur kuch swal hei waswase ko lekar

    jaha tak mera personal experience hei kuch batein maji ke waqiat ke wajeh se doubts hote hei … aur kuch halat aur apne doubts bhi waswaso ko dawat deta mei hei …

    mera sawal yeh hei ki mene kahi padha tha ek Alim se sawal hua ki agar koi aise jagah par wuzu kar sakta hei jaha par log peshab karte ho us Alim ne kaha haa kar sakte ho jab tak tumhe napaki jahiri taur par nazar, smell nehi mil jata tab tak tum napak nehi honge kyuki napaki ke liye yakin hona zaroori hei .. matlab agar koi agar yakini taur par agar nehi faisla kar sakta woh chiz paak hee samjh jayega aur waswasa ko dil me nehi Lana chaiye.. example…

    agar kisi bistar par napaki lag jata hei koi bacha peshab kar deta hei bohot sal pehle ki bat ho aur koi wet hand se kisi jagah ko touch kar de toh ab usko yad ayen ki is bistar par toh bache ne peshab kiya hoga lekin ab usko yeh bhi na pata chale ki uske hath napaki Wale jagah par tauch hua ya nehi is mamle me bhi paak hee samjha jayega kyuki usko pata nehi exactly..? thik isi tarah koi bhi mamla ho napaki ko lekar jab tak yakin na ho tab tak paak hee rahega humko investigate karne ki zarurat nehi hei aur agar na bhi karu toh uspar sawal nehi kiya jayega bas yakin par napak mana jayega aur sakhs ho toh paak … chahe reality me woh jagah napak hee ho humko yakin par faisla karna hoga please is bat ko rehnummai kare aur yeh bhi bataye hamein investigate karna chahiye ya nehi waswasa yehi se shuru hota hei maji ke qisse yad ajata hei par exactly bata bhi nehi hota hei …

    Umer replied 2 years, 6 months ago 2 Members · 5 Replies
  • 5 Replies
  • How To Deal With Doubts Regarding Impurity

    Umer updated 2 years, 6 months ago 2 Members · 5 Replies
  • Umer

    Moderator June 10, 2022 at 2:13 am

    Aap nai apnay sawalon ka jawab khud hi dai diya hai bilkul theek sai, yai sirf apka shak hai jo apko tang kar raha hai, isko apnay upar ghlaba hasil na karnay dain. Agar yaqeen hoo toh saaf karain, agar shak hoo toh chor dain. Apka muakhza yaqeen par amal na karnay par hoga na kai shak par amal na karnay par.

  • ashif ahmed

    Member June 10, 2022 at 4:37 am

    https://youtu.be/XRRWuilNTfE

    bohot shukriya lekin is video me ghamidi sab se ek sawal hua 5:26 ke bad ap dekh sakte hei usme ek ladke ki mishal dekar sawal hua ki agar koi swimming pool me gir gaya toh uska namaj hoga ya nehi toh ghamidi sab ka ab jawab dekh sakte bas ek bat samajh nehi awa agar koi aise pani ko pee na sake toh kya usse wuzu nehi hoga jaise ki river wagera ka pani ya bina filter kiya hua pani …? ghamidi se ne pee lene ki bat kyo kahi samajh nehi aya

    • Umer

      Moderator June 10, 2022 at 8:46 am

      Woh Ghamidi Sahab nai jumla-e-mutariza kai tor par kaha hai kai aisee cheeson main itna ulajhna nhi chaiyai. Jaisay aagay bayan hua kai chirya pani ki tanki main main mar gae hoo aur koe shaks us main wuzu kar kai namaz parh lai, toh agar wuzu kartay waqt uskai ilm main yahi thaa kai pani saaf hai toh uska wuzu aur namaz bilkul theek hai. Han agar pehlay sai pata hoo kai pani ganda hai toh phir us sai bachna chaiyai, balkay saaf pani sai wuzu karna chaiyai.

      Wuzu kai liya paani peenay waala hona zaroori nhi, kyunkai usay peena nhi hota bas daikhnay main saaf hona chaiyai aur koe khas badbu bh na hoo. Yai aam aqal ki baatain hain, in par qanoon-sazi na Islam nai kii hai aur na hi karni chaiyai.

  • ashif ahmed

    Member June 10, 2022 at 10:35 am

    ek aur sawal peshab ke perhez na karne par azab e qabar ki ribayat mei aya hei lekin hanafi ulma o me ek ulma ne kaha hei ki agar perhez karne ki bad agar kuch cheetein asa bhi jaye toh woh maaf hei thik kapdo ko dhote waqt bhi aisa kaha ki dhyan se dhona chahiye aur agar kuch cheetein par bhi jaye toh maaf hei lekin salafi ulma kehte hei 1 dot ki barabar napaki bhi maaf nehi aur (malki fiqh me najasat ko dhotein waqt jo cheetein lag jate hei ya pani ka napak hone ka jo usul hei woh thik lagta hei ki colour smell se Tai kiya jayega , ) lekin masla mera hanfi aur salafi ke jo nukta hei unmo se kaun zyada sahi hei ahnaf kehta hei ki jo perhez ke waujud lag jaye woh maf hei aur salafi kehta thoda sa bhi maf nehi hei …? konsa sahi hei kyki ribayat jo azab e qabar wali hadith hei usse thoda dar lagta hei

    • Umer

      Moderator June 11, 2022 at 2:36 am

      Is Hadith ka main tafseeli jawab pehlay dai chuka hun kai agar jantay boojhtay banda is maamlay main be parwahi karay toh hai toh yai sagheera gunnah laikin agar us banday par itmam-e-hujjat ki saza lagu hoojaye ya phir woh kisi kabeera gunnah main pakra jaye toh ussay phir in sagheera gunnah ki saza bh millay gi, Tafseel kai lia neecahy wala jawab aur link doobara daikhain:

      Discussion 67336 • Reply 67431

      Hanafi nuqta nazar Quran kai zayada qareeb hai kai agar kosish kai bawajod bh koe gandagi reh gae toh us par muakhza nhi hoga.

You must be logged in to reply.
Login | Register