Forums › Forums › Islamic Sharia › Celebrating Birthday And New Year In Islam
Tagged: Halal, Haram, Islam, Misconceptions, Muslims, Polytheism, Shirk, Society
-
Celebrating Birthday And New Year In Islam
Posted by ashif ahmed on June 22, 2022 at 5:14 amin dono video me reference ke sath proof diya gaya hei ki new year and birthday shrik se aya hei aur ghamidi sab ka moukaf hei ki yeh sab haram nehi hei …? Suraj araf ayat 33 ke tehet yeh shirk me shamil hone ki wajeh se haram hei …? toh kya ghamidi sab in baton ke nehi dekhte
Umer replied 2 years, 4 months ago 3 Members · 8 Replies -
8 Replies
-
Celebrating Birthday And New Year In Islam
-
Dr. Irfan Shahzad
Scholar June 22, 2022 at 6:18 amNo matter what is the origin of a thing, when a thing is considered independent or dissociated from it polytheistic origin, it is treated now as it is now. celebration of birthdays is found in every culture from old times. so no one origin can be said for sure. Celebrating birthday has no moral or ethical objection.
-
Umer
Moderator June 22, 2022 at 8:04 am -
ashif ahmed
Member June 23, 2022 at 3:48 amhttps://sunnah.com/abudawud:3313
Is hadith me rasullah s a w ne ek sahabi mana kar diya tha agar pehle kahi shrikiya amal hua hota tha toh chahe agar waha shirk katam ho gaya ho toh uspar sharik hone ko mana kiya hei aur albani Rahim Ullah ne isko sahi kaha hei …
-
Umer
Moderator June 26, 2022 at 2:05 pmIs Hadith main hi yai baat wazeh hoo jaati hai kai Hazor (sws) kai yai dono sawal shart kai tor par nhi thaay kyunkai akhir main Nabi (sws) nai khud hi asool bayan farma diya hai kai “Fulfil your vow, for a vow to do an act of disobedience to Allah must not be fulfilled, neither must one do something over which a human being has no control“. Yai akhri jumlay asool aur shart hain na kai pehlay poochay janay waalay sawal.
Agar yai farz kar bh liya jaye kai yai dono sawal shart kai tor par poochay jaa rahay thaay toh phir bh iska talluq shirk waali jagah sai hai jahan pehlay shirkiya qurbani ki jaati hoo ya shirkiya tehwar manaya jaata hoo. Iska talluq us tehwar sai kaisay hoo gaya jiska talluq na shirk sai hai ab aur na hi kisi shirkiya jagah pai manaya jaata hai.
-
-
ashif ahmed
Member June 26, 2022 at 3:04 pmmein bhi pehle manta tha birthday ko par upar jo video meine link share Kiya hei us Alim ne kuch argument diya hei kisi source se ki birthday aur new year ka origin shirk se start hua hei aur is hadith ko sunne ke bat mujhe confusion ho raha hei abhi
-
Umer
Moderator June 26, 2022 at 3:06 pmAgar apko un aalim sahab ki baat main zayada wazan lag raha hai toh unki baat ko hi follow karain.
-
-
ashif ahmed
Member June 26, 2022 at 4:23 pmumer Qureshi bhai mujhe pata nahi ki woh sahi hei ya nehi bas isiliye puch raha tha kya unke dalil sahi hei ya nehi is bat ko ab mujh jaise log kaise tehqiq karke bata lagaye ki woh sahi hei ya nehi mujhe bas ye janna tha ki in sab baton ho sakta hei ghamidi sab tak bhi na pohcha ho ya yeh bhi ho sakta hei in baton ko ghamidi sab ya jo yeh kehte hei birthday me koi harj nehi in baton ko tehkik karke bol raha ho aur unke najdik in baton ka dalil kamjor ho
-
Umer
Moderator June 26, 2022 at 4:29 pmKoe baat nhi, aapka kaam bhot zayada tehqeeq karna bh nhi, bas jitni apkai bas main hoo woh kar lain, baqi jo baat apko mazbut lagay usay ikhtiyar kar lain.
Hamaray nazdeek jaisa kai upar Irfan Sahab nai bh bataya kai aik cheez beshak shirk sai shuru hue hoo laikin agar ab uska shirk sai koe talluq nhi hai aur bas aik cultural cheez reh gae hai toh ussay mananay main koe harj nhi hai. Jahan tak upar waali rawayat ka talluq hai, us ko main bayan kar chuka hun upar kai us rawayat sai Uthman sahab kai moaqqaf ki taed nhi hoti.
-
Sponsor Ask Ghamidi
The discussion "Celebrating Birthday And New Year In Islam" is closed to new replies.