Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Surah Imran Aayat No 152

  • Surah Imran Aayat No 152

    Posted by Saiyed juned Alimiya on July 31, 2022 at 10:53 pm

    Is aayat me jaha kuch sahaba ko duniyaka talib kaha gaya & jo nuksan junge auhad me uthana pada,uski wajah allah ke rsul saw ki nafarmani he,is nafarmani ko stetegical na farmani samje, ke wahi e Ilahi ki na farmani?mean allah ke hukam se sahaba ko us jagah allah ke rasul saw ne jamaya tha??

    Umer replied 2 years, 5 months ago 3 Members · 6 Replies
  • 6 Replies
  • Surah Imran Aayat No 152

    Umer updated 2 years, 5 months ago 3 Members · 6 Replies
  • Umer

    Moderator August 1, 2022 at 4:04 am

    Allah kai nabi kai sareh hukam ki nafarmani Allah ki nafarmi hi hai, chahay woh startegic hukam hi kyun na hoo.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member August 1, 2022 at 4:11 am

    Mean bohot se aesi hadise he jaha sahaba ne allah ke rasul saw se pucha ki ye hukam as a rasul he ya Muhammad bin Abdullah ki taraf se, to is cenariyo me aesi kuch baat nahi thi??

    • Umer

      Moderator August 1, 2022 at 4:14 am

      Leader ki haisiyat sai, judge ki haisiyat sai aur Rasul ki haisiyat sai tamam ehkamaat manna lazim hai Musalmanon par. Jo hukam Nabi (swS) khud keh dain kai aisi kissi haidiyat sai nhi hai toh woh manna farz nhi. Yai wala hukam dono aik leader aur rasul kai haisiyat sai thaa, aur manna farz thaa.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member August 1, 2022 at 4:27 am

    Isi liye allah ne hard ward use kiye jese ke wo jaan le ke tumame duniya ka talib kon he & aakhirat ka kon?

    • Umer

      Moderator August 1, 2022 at 11:26 pm

      Iska taluq ibtila sai hai takay kamzor iman walon ko mazbut iman walon sai alag kar lai Allah is ibtila sai guzar kar. Chunkay aagay Rasul kai mannany walon ko dunya ki badshahi bh dainee thii toh us sai pehlay un ka imtehan bh zaroori hota hai takay pata chal jaye kon mazboot iman waala hai aur kon kamzor sirf dunya kai talib.

  • Fatima

    Member August 1, 2022 at 10:31 am

    ye ayat jo hamne samhji hai ki,ye koi personal baat nahi thi ki kisi ek ko effect kare ye to puri team ko effect kar rahi thi yahan pe kai baaten seekhne ko milti hai jaise,leader ko follow karna,aapas me ikhtilaaf na karna,ikhtilaaf kiya bhi to maal ki muhabbat me or usi me aake rasool ki baat ko nahi samjhy ki ye hukm sirf jung ke liye tha ab to ham jeet chuky hai rasool ne kaha tha ki jab tak main na kaho yahan se nahi hatna,aap ne jo baat kahi vo bhi sahi lagti hai lekin ye log to mukhlisi se rasool ke sath the bas baat nahi samjhy jis wajah se nuqsan hua or khuda ne inhe maaf bhi kardiya,nasihat to hamary liye hai ki ikhtilaaf kitni bari kharabi hai.

You must be logged in to reply.
Login | Register