Mai jo is ayat ka matalab samjha hun wo bata raha hun
Allah tala is me farma rahe hain ki apane pairon ko zameen se thapathapaate hue na chalen taaki unaki chhipi hui Zeenat Zahir hojai
Zeenat ki chhizon se murad zewar zewaraat jo aurat shadi ya party wagaira k maoke par pahanti hain
Ab sawal paida hota hai ki chhipi hui Zeenat ka kya matlab?
To iska matlab ye hai ki Allah tala aurton hukm diye hain ki ager unhone Zeenat ki hui hai to unhe Zeenat ki nomaish nhi karna hai sewai un body parts k jo aam taur par khuli hoti hain jaise face, head, hair, hand and leg lehaza is ayat ka matlab ye hua ki pairon ko aise maar kar na chalen ki jis Zeenat ki jagahon ko Allah tala ne chupane ka hukm diya hai wo Zahir hojai.
Ummed hai ki aapko meri baat samajh me ai hogi.