-
Concept Clearing On Qismat
Ghamidi sab ka qismat se mutaliq opinion jitna men samajh paya hun wu ye hai:
1) Allah pak ne qismat ya naseeb ka lafz kahin use nahin kiya.
2) jo bat Allah ne farmai hai wu ye hai
i) kuch aysy mamlat hen jo Allah ne banday k liye khud se decide kar diye hen. e.g gender, family etc.
ii) baki mamlat ko Allah tala ne kuch conditions se mashroot kar diya hai. jese mehnat, tawakul, dua etc.
kiya men ne bat sahi samjhi hai? agar sahi samjhi hai tu kindly neechay di gai statments k baray men ghamidi sab k opinion men comment kar den.
a) “mjy ye nahi mil saka shayad ye meri qismat men hi nahi tha”.
b) “wqt se pehlay nahi, naseeb se zada ni”.
c) “men jahan b job k liye apply karta hun mere se weak candidates qualify kar jaty hen aur men reh jata hun .asal men meri qismat hi aysi hai”
d) “meray business men sab acha tha bus naseeb ki kami ki waja se reh gya”
e) “kuch k naseeb to itny achay hoty hen k un k pani b bikta hai aur hmara to tail(oil) b ni bikta”.
Sath hi ye b samjha den k, hum log ye bat janty hen k ye dunya alm-e-asbaab hai, lekin jab kabhi aik jese asbaab ikhtyar karny k ba-wajud aik shakhs kamyab ho jata hai aur dusra reh jata hai to koi cheez to beech men hai na jo aik ko success de rahi hai aur dusray ko failure.
Sponsor Ask Ghamidi