Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Consequences Of Our Sins And Their Forgiveness

  • Consequences Of Our Sins And Their Forgiveness

    Posted by Rimsha on December 17, 2022 at 9:01 am

    AOA

    mera sawal aik sawal hai ma ny jis se mutaliq quran ki kuch ayat aur kuch ahadees bhi hain ye sawal samjhne ma kuch mushkil paida kr rha hy. Jo b kisi bury amal ki shuruwat kry ga wo apne gunah k sth unka bi zemadr ha jo log us gunah ko us k bad krain gy. Beshak hr musalman ko behtr insan banne ki hr roz koshish krte rehna chahye aur gunahon se bachna chahye lakin is koshish k bd be insan se ghalti ho jti hy. choty gunah ho jty hn ALLAH maf kry kbi kisi se koe bara gunah bhi ho jata hy insan us ny bchta ha maafi mangta ha bhtri ki trf ata hy mra sawal hy in ayat ya ahadees ka itlaq kis had tk ha kya is ma koe riyat nhi aik musalman k lye. kya jis ny koe gunah sb se pehle jaisy k qatal ye us pe hoga ya har qatal krne waly pe? aur qatal tu bht bara gunah ha ALLAH maf kry kya sagira gunah pe b ye itlaq hota ha? aur kya agr insan ny gunah kya lakin phir maafi mang li tu ALLAH PAK wo gunah tu maaf kr dein gy kya usko natejay k sth maaf farma dein gy ya maafi mangne k baad phir b us k asrat ki saza mily gi? ALLAH Maf kry

    aur agr ak insna ny koe choti c ghalti ki jaisy libas acha nai pehna ya koe chota sa jhoot bol dya jo k ghalt hy lakin us insan ko dekh kr kisi dosre ne wo choti c ghalti tu ki lakin us k sth kuch bara gunah b kr dya jo choti ghlti us gunah ki trf ly gai lakin us pehle insan ne wo gunah ni kya us sy koe choti ghalti hovi jsy kisi aam insan se roz mra zindgi ma ghlti hogai lakin kya wo usko dosre insan k bry gunah ki saza be mile gi kiun k us ne choti ghalti ki? aur ayat k kisi dosre k gunah ka asar kisi dosre pe nae iska matlb hy? jo insan apne apko bhtr banne ki koshish kr rha lakin us k asrat k mutaliq pakr sahat hogai tu wo kya kry us k sth ALLAH kya mamla kry ga insan kaisy bachy hud ki ghalti ka tu anjam us insan k sth ha aur wo koshish krta tu wo ALLAH raheem ha maaf kr dete lakin uska anjam kya hoga ye insan nai janta koe dosra usko kaisy le ga lakin ye cheez insan ki apni koshish k bawajood us k lye saza ban gai akhrat ma tu phir? is ko samjhne ka sahi tareeqa kya hoga please wazahat kijye Shukria

    Rimsha replied 1 year, 11 months ago 2 Members · 4 Replies
  • 4 Replies
  • Consequences Of Our Sins And Their Forgiveness

    Rimsha updated 1 year, 11 months ago 2 Members · 4 Replies
  • Umer

    Moderator December 18, 2022 at 8:24 pm

    Khuda ka maafi ka qanoon kamil hai, is sai murad yai hai kai insan agar apnay gunahon par Allah sai maafi ka talib ban kar uskai dar pai aagaya hai, toh khuda jab ussay apnay qanon kai mutabiq maaf karay ga toh woh kamil maafi hogi, woh gunah aur uskai agar koe asrat us banday kai zimmay aatay hain toh Insha’Allah woh bh maaf hon gai. Yai maafi ka ain aqli taqaza hai.

    Laikin shart yahi hai kai maafi khuda kai qanoon kai mutabiq mangi gae hoo aur haqooq-ul-ibad kai silsilay main mutalqa shaks sai bh maafi mangi gae hoo aur uskai haq ki talafi bh ki gae hoo.

    Remorse and Repentance (Tauba wa Astaghfar): Discussion 22342

  • Rimsha

    Member December 18, 2022 at 8:33 pm

    Jee boht shukria aur aik bt k agr insan se koe chota gunah hogya saghira gunah jo k reward k tor pr bhi maaf kr skty agr us choty gunah se kisi dosre shakhs se koe bra gunah kya ho jo k us pehle insan ne nahi kya us se tu bs saghira gunah ka irtaqab hogya kya ALLAH PAK jb wo saghira gunah maaf krain gy tu us k asrat be natija b bhi maaf hojay ga? saghira gunahon se b maafi mangte rehna chahye beshak lakin tauba ka qanoon kabira gunahon se mutaliq ha tu saghira gunah b natija k sth maaf hojain gy kiun k aik musalman is se b darta ha k ALLAH choty gunah k asrat agr ALLAH na kry bry hn tu unko bhi maaf kr dy

    • Umer

      Moderator December 18, 2022 at 8:43 pm

      Sagheera gunnah ki maafi Allah nai apnay zimmay lii hai agar insan kabeera gunahon sai bacha raha, to is main tamam kisam kai sagheera gunnah aa jatay hain. Sagheera gunnah kai asrat bh aam tor pai sagheera gunnah tak hi mehdood rehnay chaiyai, un asrat sai marghoob hoo kar koe shaks kabeera gunnah kar baithta hai toh woh us shaks ka amal hai, pehlay shaks sai sirf uskai sagheera gunnah kai logon par asrat sai mutalliq sawal hoo sakta hai.

  • Rimsha

    Member December 18, 2022 at 8:47 pm

    G Boht shukria

    JAZAK ALLAH

You must be logged in to reply.
Login | Register