Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Difference Between Major Sins And Minor Sins

  • Difference Between Major Sins And Minor Sins

    Posted by Rimsha on December 21, 2022 at 10:03 am

    AOA

    mera aik sawal hai kya jhoot main bhi kabira aur saghira gunnah hote hain? Beshak har jhoot se bachna chahye lakin insaan agr bry jhoot se bachy tu kya choty jhoot maaf hoskte hn? jaisy roz mra zindgi ma insan bol leta jb k beshak wo b ghalat ha lakin ma asool samjhna chah rhe hn kya zina k elawa bki kabira gunahon k koe saghira gunah hote hn? kya har jhoot kabira gunah hai jhooti gawahi dena ya apna koe personal mamla chupana ya rasty ma hone pe dair se any pe jhoot bol dena beshak ye b ghalat ha lakin kya sb kabira gunah hain. ya bakion ma b saghira aur kabira dono hote? Janab Javed Ghamidi ka is pe kya kehna hai

    Umer replied 2 years ago 2 Members · 1 Reply
  • 1 Reply
  • Difference Between Major Sins And Minor Sins

    Umer updated 2 years ago 2 Members · 1 Reply
  • Umer

    Moderator December 21, 2022 at 9:14 pm

    Is baray main aik mukammal fehrist na hi banae jaa sakti hai aur na hi yai deen ka mizaj hai.

    Amuman sagheera aur kabeera gunnahon main farq hamari fitrat theek tor pai kar daitee hai, jaisay aik bai-zarar jhoot sagheera gunnah hoga aur jhooti gawahi daina kabeera gunnah. Yai gunnah ki intensity aur uskai nataij hain jo us main farq ka bais bantay hain, aur aam tor pai hamari fitrat us pai sahi rehnumai kar daitee hai.

    Chand numayan nukat is main Quran nai bh bayan kardiyai hain kai konsai gunnah kabeera noiyat kai hain. Tafseel kai liya daikhain:

    Discussion 63831

You must be logged in to reply.
Login | Register