Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islamic Sharia Bowing For Elders Out Of Respect

  • Bowing For Elders Out Of Respect

    Posted by Rimsha on January 30, 2023 at 1:01 pm

    AOA

    @UmerQureshi

    Sir apne aik discussion ma jawab share kya national anthem ma ehtaram ma jhokne k bary ma sawal hova aur baron k samny ehtram ma jhokne ka sawal hova

    https://www.youtube.com/live/rJKFUOKu2Ak

    Janab Ghamidi ne is video ma last ma jawab dya jb hassan sir my sawal kya k agr sajda aur ye sb mana ha tu kiyn ALLAH ne adam A.S ko sajde ka kaha tu Janab Ghamidi shb ne kaha nabi S.A.W k baad ma shirk k mazahar ko b mana kr dya pehle unko ko gawara kya ja rha tha aur arbi ma sajda sar ko jhokne jisy bowing kehte hn usko kehte hn ab wo b mana ha lakin us discussion ki baki videos ma janab Ghamidi shb sar jhoka kr milne ya pyare lene ya jhok kr hath chomne ko allow kr rhy hain aur waha he dosri jaga ruku aur sajde ko mana kya lakin us discussion ma he qiyam ruku aur sajde ko mana kya tu ma samj nai aye unka asal point hai kya wo kis chez ko thek samjhte hn kya jaiz ha

    kya baron se zra jhok kr pyar lya ja sakta ha?

    wazahat farma dijye

    Umer replied 1 year, 1 month ago 5 Members · 33 Replies
  • 33 Replies
  • Bowing For Elders Out Of Respect

    Umer updated 1 year, 1 month ago 5 Members · 33 Replies
  • Rimsha

    Member January 30, 2023 at 1:04 pm

    aik tarf wo farmate hain k ruku tk ni jhokna jaiz aur dosri tarh jaisy hindi ruku se be zaida jhok kr paon be chhote hn wo jaiz samjhte hn main bht confuse hn

  • Rimsha

    Member January 30, 2023 at 3:35 pm
  • Rimsha

    Member January 30, 2023 at 3:38 pm
  • Rimsha

    Member January 30, 2023 at 4:42 pm

    jaisy humare han jb bary aty hain tu un se adab se jhok kr pyar lete hn sar pe shoulder pe tu kya ye shirk ha gunnah ha sb scholars ka ye he opinion ha

  • Rimsha

    Member January 30, 2023 at 6:24 pm

    ap please standing in national anthem wali discuss ma majood 3 videos hn wo dekhain us ma Janab Ghamidi Sahab k jawabat har video ma contradict kr rhy hain ye boht nazook masla hai is lye waziya aur thek thek tafseel chahti hn mehrbni farmye ap aur please isko dekhye

    kiun k mamla shirk ka ha sanjeeda ha aik anayat ho saky tu Janab Ghamidi sahab se is ki sahi tafseel aur mani daryaaft farmain ye shirk ka nazok mamla hai humain kya krna chahye aur kya nai aur agr @faisalharoon

    @UmerQureshi ap khud bhtr samjha sakte hn ya apko unka majood view thek thek malom ha tu wazahat kr dijye

    Boht shukria

  • Faisal Haroon

    Moderator January 30, 2023 at 7:03 pm

    Bowing down in front of anyone as you bow down before God, as in namaz (ruku, sujood) is prohibited. Other gestures that do not cause anyone to think that it’s a bow of worship are permissible.

    • Rimsha

      Member January 30, 2023 at 7:40 pm

      Ulama ka kehna ha ruku jhokne se shoro hojata tu zara b nahi jhoka ja skta aur baz tu is ma zaida strict hain k sar b nahi jhokna chahye. basic principle kya hai quran kya kehta ha?

  • Rimsha

    Member January 30, 2023 at 7:11 pm

    aur sir us video ma janab Ghamidi sahb ne adam A.S ko kya jane wale sajde k bry ma kaha us sajde se murad tazeeman sar jhokana tha ab wo b mana ha

    tu agr hum ikhtiyat krain aur ruku ki position to na jain lakin jb halka sa jhoka jay tu jism k sth sar ha wo b jhoky ga ya waisy salam krty baron insan sar jhoka leta tu unk is jawab ko kaisy samjhain gy?

    aur kya ap us ayat ka reference dy skte hain jo janab ghamidi sb ne zikr kya k quran ne bta dya ha ab shirk aur us k mazahr ko b gawara nai kya jay ga waha kya sirf sajde aur ruku ka zikr hai

  • Rimsha

    Member January 30, 2023 at 7:13 pm

    aur us discussion ki sb sy pehli video ma sir zubair(Host) k sawal pe umhon ne jhok kr paon chone ko b jaiz kaha k koe masla nai cultural chez ha tu kya jb ruku tk nai jaya ja skta tu us sy zaida kaisy jhuk skte hain?

  • Rimsha

    Member January 30, 2023 at 7:16 pm

    aur sb sy important point pehle janab Ghamidi sahab ne qayam ko na jaiz kaha k wo b nahi kya jay ha phir next video ma national anthem k jawab ma isko jaiz kaha aur sth ma ye b kaha ALLAH maaf kr dy ga agr kuch aisa nai tu is se kya murad ha unki statement ma tabdeeli kiun?

    baraye mehrbani ye 3no points kuch tafseel se waziya farma dijye

    boht shukria

  • Faisal Haroon

    Moderator January 30, 2023 at 7:43 pm

    Your question has already been answered. One more time, gestures that do not cause anyone to think that it’s a bow of worship are permissible.

  • Rimsha

    Member January 30, 2023 at 7:46 pm

    Jee sir apne ruku k mutaliq bta dya baraye mehrbani qayam k mutaliq b bta dijye videos ma janab ghamidi shb ka jawab mukhtalif ha

    aur quran ki ayat ka reference dy dijye

    kya sar k jhokne pe koe pabandi ha kiun k namaz ma qayam ma sar bhi jhokta ha

  • Faisal Haroon

    Moderator January 30, 2023 at 8:43 pm

    Your original question is about bowing down and that is what my response is addressing. Ghamidi sahab’s video that you shared clearly addresses all other gestures.

    I urge you to please read responses carefully before posting comments. You are asking the same question that has already been answered.

    • Rimsha

      Member January 31, 2023 at 5:00 am

      Jee sir maine boht dehan se apke jawab aur un videos ko parha hai main apse ruku k mutaliq poch chuki hn ma ab un videos k mutaliq poch rhe hn k janab ghamidi shb ne bki gesture ka jawab dya lakin us sy agli video ma qayam ko zra sar jhokana ko sb mana kya ruku aut sajda tu mama he tha tu un ki kon c bt ko follow kya jay ya ma unka matlb nai samjhi hn ma ye pochna chah rhe hn sir

  • Rimsha

    Member January 31, 2023 at 6:45 am

    quran ki ayat share ka dijye please jis k bry ma wo keh rhy hain video ma boht shukria

  • Faisal Haroon

    Moderator January 31, 2023 at 11:45 am

    If you keep the principle in mind that has been explained above, there should be no confusion. Ghamidi sahab has not stated anything contradictory either.

    For Quranic reference, please see the translation and the explanatory notes:

    Quran 41:37 | Javed Ahmed Ghamidi

  • Rimsha

    Member January 31, 2023 at 3:01 pm

    Sir Mazrat k sth please aik br ghor kijye thora aur Janab Ghamidi shb ne aik jawab main kaha qayam ruku sajda dozano baithna ye sb sirf ALLAH k lye he jo ye kry ga tu kahain haram kehna pry ga aur kisi jaga tu saf saf shirk ka mazahr hoga aur shirk ki maafi nai aur waha he dosre jawab ma keh rhy hn ruku aur sajda nai kr skte baki kr skte hn paon b chho sakte hn baki chezon ko insan k zook pe chor dya gya ha tu kaisy contradict nai horhy aik jaga haram aur saf saf mana kya dosri jaga ijazat dy di aur kaha insan k zok pe ha ruku aur sajda k elawa

    mazrat chahti hn lakin haqeqat ha muje saf saf dono batain alag malom ho rhe hain ap please is cheez ko samjhain. ayat ma b un tamam ilamat ko ikhtayar krne se mana kr dya gya jo Allah ki bandgi k lye hn phir tu qayam ruku sajda sb ajay ga is ma aur ulama akram kehte hn sa jhokana b sajde ki he form ha

    ap se guzarish ha ye sawal kuch tafseel talab ha please wazahat kijye

  • Rimsha

    Member January 31, 2023 at 3:28 pm

    aur uper pehle jawab ma wo keh rhy jaisy Hazrat yusuf k ghar wale un k samne jhuky jaisy bow kehte hn english ma lakin dosri video ma jawab ma farma rhy hn k hazrat adam ko b ya jaisy Muhammad S.A.W se pehle aqwam zara jhuka lete thy ab wo b nai hoga mana ha sth he isko zook pe chor dya ayr haram b keh rhy hn

  • Rimsha

    Member January 31, 2023 at 5:10 pm

    @UmerQureshi please ap bhi is pe rehnumai kr dijye kuch confusion ha muje janab Ghamidi sahab k jawabat ma maine uper mention kya ha

    videos standing in national anthem wale discussion forum ma mujood hain

    • Umer

      Moderator February 2, 2023 at 12:04 am

      Chunkay ruku ki tarah jhukna aur sajda karna sareehan ibadat kai mazahir hain toh yai Allah kai siwa kisi kai liya nhi hoo sakta. In main aik kisam ki Allah kai liya paidaishi takhsees pae jati hai.

      Khara hoona (qiyam ki tarah) aur isi tarah thora sa jhukna kisi kai liya aur baqi ibadat kai mazahir sai miltay jultay amal, asoolan in sai bh perhaiz karna behtar hoga, laikin chunkay in amaal main aik qisam ki paidaishi tameem pae jaati hai, yai adaab aur ibadat dono kai liya istemal hotay hain aur in main yai farq bh har aik ko malhuz rehta hai toh in main us qisam ki sakhti ka pehlu kam hoo jata hai jo sajday aur ruku kai liya rakhi gae hai.

  • Rimsha

    Member February 2, 2023 at 12:15 am

    Boht ehtaram k sth sir asool muje samj agya ha mera sawal asal ma ye nai ha sawal ha Janab Ghamidi sahab ki dono mukhtalif btain. Haram or zooq pe chor dya gya ha jaisy k tafseel ma uper share kr chuki hn

  • Rimsha

    Member February 14, 2023 at 2:48 pm

    Jee theek hai sir aur agr koe bara buzurg baitha ho aur hum jain un sy galy milna pry tu humain jhukna parta ha aur hum galy milte buzurg se nai kehte k ap pehle khary hun phir milain gy agr wo khud khary hojain tu alag bt ha tu jb insan galy milne k lye jhukta hai wo tu itna he jhuka jitna ruku ma jhukte jb k jhuk wo raha is lye ni k respect ma ruku kr rha wo galy mil rha lakin ruku jitna jhukna pra tu kya ye jhukna shirk k mazahr ma aye ga ya jaisy humare yaha kahain jain aur jo burhy buzurg hoty wo log pyar dete agr koe burha bara baitha ho wo pyr se sar pr hath phair dete wo un ka pyr krne ka bachon ko aik gesture hota hum pyr lene k lye jhukte agr koe baitha ho tu koe chair pe baitha ho ya bistr pr jb samne wala jhokta ha tu ruku jaisa he jhuka jata tu kya ye b shirk k mazahr hain?

    janab Ghamidi Sahab ne video ma kaha kuch cultures ma paon pe chhote hn us ma b masla nai tu is pe itlaq kaisy hoga

    • Umer

      Moderator February 14, 2023 at 9:37 pm

      Yai toh ruku wala jhukna hai nhi nhi, na hi yai tazeem wala jhukna hai. Yai toh aik surat-e-hal kai mutabiq apni height adjust karna hai, bilkul aisay hi jaisay neechay koe cheez pari hoo toh ussay jhuk kar uthana parta hai. Yahan bh buzurg ko uthanay ki takleef sai bachanay kai liya jhuka jaata hai.

    • Rimsha

      Member February 15, 2023 at 4:13 am

      Sir bilkul theek

      kya janab Ghamidi sahab ny paon chhone ki ijazat is lye di jasy indian culture ma ha unka maksad feet ko touch krna hy. kiun k aik scholar ne kaha unka maksad jhukna he hota ha apny bry k agy is lye feet touch krty wo ghalat hy lakin hath chomne k lye kisi bry k ya sar pe bossa lene k lye ap jhuky tu us ma maksad buzurg ko kiss krna ha izzat aur pyr se.

    • Rimsha

      Member February 15, 2023 at 12:55 pm

      Aur yaha aik sawal paida hota ha sir k agr jhukne ki waja matter krti ha jaisy koe pyar lene k lye jhuka ya paon chhone k lye jhuka uska maksad tazeem k lye ruku krna nai tha tu jaiz ha phir kuch logon k han log apne bary k paon chomte hain wo unka culture ya jo b lakin waha tu wo sajde k had tk jhokte lakin sajda nai krte paon chomte tu kya usko b is tarh he dekhain gy k unhon ne sajda nai kya tazeem k lye paon chomne k lye waha tk gye

    • Umer

      Moderator February 15, 2023 at 9:17 pm

      Hath chomna ya paon chomna dono main insan jhukta toh hai, laikin is jhuknay main aur ruku walay jhuknay main ya sajday walay jhuknay main hait ka farq hota hai, in sab ki hait bilkul aik jaisi nhi hai, kuch farq zaror hai aur daikhnay wala yai farq ba-asani bata sakta hai. Kissi buzurg kai ehteram main hath ya paon chomnay kai liya jhukna aur kisi ki tazeem main ruku ya sajda karna, dono main farq hai, nazri satah pai bh aur hait main bh.

    • Rimsha

      Member February 18, 2023 at 9:48 am

      https://youtu.be/R0P6MAxqpjgSir kya ap is video ma jo ye scholar explain kr rhy hain unka point of view bta sakte hain. Hath ya mathaa chomne k lye jhukna allow kya aur paon ko touch krne k lye mana kya k us ma maksad he jhukna ha ye keh kr k maksad paon ko touch krna nai jhukna ha asal maksad he jhukna ha us extreme tk jna ha jb k kiss tu agr taller banda ajay apka bra tu ap jhuko gy nai balky uper ho kr kiss krna hoga kya ye feet touch krne ka maksad jhukna he hoga ya maksad feet ko touch krna he ha? kaha k paon ko touch he is lye kya jta k us ko touch krne ma asal maksad k jhukna he jhukna hoga? agr isko dekha jay tu humre yaha Pakistan ma sar pe pyar lete baron se kya uska maksad b sar ko jhukana he hoga k pyar is lye dya jata k sar jhuky ya maksad pyar dena he ha ya feet touch krne he ha in ka last point specially 15:00 se agy samjhne ma mushkil ho rhe agr koe many k thek ha har tarh ki bowing down mana ha nai jhukain gy lakin humre yaha pyar dete bry aur bache zara sar jhuka kr agy hote ya sar jhuka kr agy kr dete kya yaha b unka feet touch krne ka point dekha jay tu pyar dene k maksad jhukana ha dosre ko?? kya Ma Pakistani hote hove humre culture ka hisa hote hove baron se pyar ly sekti hn milte waqt sar pe kbi shoulder pe ya ye ghalat hoga.

    • Umer

      Moderator February 23, 2023 at 9:22 pm

      Ghamidi Sahab ka nuqta nazar is main mukhtalif hai jo upar bayan bh kiya gaya hai aur Yasir Qadhi Sahab ka mukhtalif hai. Asool main sab aik hi baat kar rahay hain kai kisi ko ruku aur sajda karna toh har surat main mana hai. Baqi yai sab itlaqi cheezain hain kai aaya paon chunay kai liya jhukna ya sir jhukana baron sai milnay kai liya is zumray main aayega ya nhi, toh in par scholars ki mukhtalif aara hoo sakti hain kai kis cheez par is asool ka itlaq hoo raha hai aur kis par nahi. Aap dono araa main sai koe aik jo zayada logical lagay intekhab kar sakti hain.

    • Rimsha

      Member March 10, 2023 at 10:11 am

      Tu Kya ap iski itlaqi sorat bta sakte hn k ye jaiz Hoga ya nahi Dono points of views ap k samne hain Janab Ghamidi Sahab ka b aur dr Yasir Qadhi Sahab ka b is pe itlaqi Kahan tk Hoga mtlb Kya baron se jhuk kr Pyar Lena jaiz Hoga jaisy koe khara ha tu sar jhuka dya agy aur unhon ne Pyar dya aur koe baitha ha tu jhuk gye samne aur unhon ne Pyar dy dya 2no k mutabik allow hai ya kis k mutabik allow nai ta k phir ma jis ki raye zaida maqool lgy ikhtayar kr lo

    • Umer

      Moderator March 13, 2023 at 8:29 am

      Ghamidi Sahab kai mutabiq aisa karnay main kuch maanay nhi.

      Yasir Qadhi Sahab ka nuqta-e-nazar tazadad sai bhara hua hai, usko aik jumlay main bayan karna mushkil hai. Aap unki video dobara daikh lain. Mujhay jo samajh aaya hai uskai mutabiq khara hua jaa sakta hai, sar nhi jhukaya jaa sakta laikin jhuk kai maatha ya haath chumay jaa saktay hain laikin jhuk ka paon nhi chumay jaa saktay.

  • Mohammad Ali Soomro

    Member February 14, 2023 at 8:44 pm

    @UmerQureshi @Irfan76 sir Jahan tak mujhe samajh me Aya hai. ke agar koi buzurg betha hua ho aur aap üsse izzat galle mil kar dena chaah rahe hon. kyun ke posture differences hain (one person sitting and one standing) toh agar theek se galle milne ke liye aap kitna bhi jhuk jayen toh usme masla nahi. kyun ke aap jhuke un ki izzat or ehtaram me nahi hain. magar aik jayez izzat dene ka tariqa (galle milna) ko sahi se karne ke liye posture differences ke hote hue, agar ruku ki had tak jhuk jatey hain toh us me koi masla nahi (yeh issi tarha hai jese Zameen se koi cheez uthaane ke Liye insaan ruku ki had tak jhuke, kyun ke ruku ki hadd tak jhuk kar galle milna (aur galle mill kar izzat dena maqsuud hai, NAAKE ruku az khud izzat ke Liye karna maqssod) yani agar wohi ruku ki had tak jhukna, “ruku karne ke Liye, jhuk kar tazeemi ruku karne ke Liye” Agar Kiya jaaye toh woh haram Hoga.

    maslan 2 case example me.

    1) aik shaks betha hua tha aur aik buzurg ghar me daakhil hua. toh woh uski tazeem me kharre hokar ruku ki hayyat banane laga (tazeemi ruku), toh woh haram hoga

    2) aik aur shaks ke saamne aik buzurg khaana kaa raha tha. khate hue usne chatni giraadi apne jooton par. toh woh shaks us buzurg ko izzat dene ke liye uske jooton se chatni saaf karne ka iraada kia aur bhag kar us buzurg ke paas kapra lekar pohancha aur jhuk kar (ruku ki had tak, ya usse agey) buzurg ke jooton se chatni saaf karne laga. magar is tarah jhukna, galat nahi.

    toh case 1 iss liye Haram hai kyun ke wahan ruku ki hayyat bana kar tazeem aur izzat maqsood thi. yani ruku se izzat maqsood thi.

    magar case 2 me ruku ki had tak jhukne se izzat maqsood na thi. izzat or ihtarram jootey saaf kar ke maqsood thi, aur uss hadaf ko haasil karne ke liye (90° angle me jhukna para) toh usme koi masla nahi. yeh bilkul ussi tarha hai ke insaan bistar ke neeche se jooti nikal ke liye taqreeban sajde ki hadd tak jhuk jaata hai. magar woh jhukna sırf jooti nikalne ke Liye hai, insaani jism ki banaawat ke lihaz se.

    sir is this understanding right? and is the understanding of these 2 cases right?

  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar February 14, 2023 at 9:39 pm

    yes. this is right.

You must be logged in to reply.
Login | Register