-
Pre-requisites For Performing Tayammum
Assalamualaikum,
Kai martaba masla yeh pesh aata he ke, humse thodi hi doori pr pani mojud hota he lekin uska istemal dushvar ho jata he jese, train me safar karte hue, ya car or bus se safar karte hue ghar me pani ki tanki khali ho jane pr, to kya esi surat e haal me wuzu ya gusul ki jaroorat pad jaye to kya tayammum kiya ja skta he?
Barhaal yeh dekha gya he ke log chalti train me wuzu karte he, ya wuzu na hone ki surat me namaz ko chod dete he, or yeh baat aam he ke kuch meel ki musafat tak agar pani nahi he to hi tayammum ki ijazat he, lekin pani ki tanki khali hone ki surat me padosi ke ghar to pani hota hi he. Esi surat e haal me kya kiya jaye, bara e mehrbani rehnumai farmaye.
Sponsor Ask Ghamidi