Forums › Forums › Islamic Sharia › Nisab For Zakat On Assets
Tagged: Zakat
-
Nisab For Zakat On Assets
Posted by Mohammad Hasan on April 7, 2023 at 1:55 amJb saal pura ho jaye to us waqt jo maal h uspar zakat h ki jo maal h agr wo nisab k upar h tb zakat hogi aur nisab maal pr zakat kitni h reference kya h kyuki Ghamidi sahab ne kha h jo maal h uspar zakat h chahe jitni ho gareeb ho tbhi de jo maal h
Umer replied 1 year, 8 months ago 2 Members · 9 Replies -
9 Replies
-
Nisab For Zakat On Assets
-
Umer
Moderator April 7, 2023 at 8:08 pmSaal main jo tarikh muqarrar ki hai maal ki zakat kai liya, us tarikh par jitna maal hoga usay calculate karliya jaye aur agar woh Nisab sai upar hai toh us par 2.5% zakat dai di jayegi. Han albata zati istemal ki cheezain is sai mustasna hai, unhain maal ki zakat main calculate nhi kiya jayega.
Maal ki zakat kai liya agar hakumat nai koe Nisab muqarar nhi kiya toh phir 642g chandi kai brabar qeemat uska Nisab hogi. Woh qeemat jo us tarikh ko hogi jis tarikh ko Zakat calculate karni hai.
-
Mohammad Hasan
Member April 8, 2023 at 12:10 am642 g Chandi maal pr zakat iska reference kya h ye nisab maal pr kyuki Ghamidi sahab khte h ki jo maal h uspr zakat 2.5 percent kbhi nisab nhi kha unhone
Aur rasolallah k jane currency note to nhi the na
-
Umer
Moderator April 8, 2023 at 1:38 amNeecha walay thread main tafseel daikhain is kai liya:
-
Mohammad Hasan
Member April 8, 2023 at 3:31 amAur rasolallah k jamane me currency note the
-
Umer
Moderator April 9, 2023 at 8:40 pmNhi currency note nhi thay, laikin us zamanay main silver ya gold currency kai tor par hi istemal hotay thay toh aaj kai dor main chunkay Silver par Nabi (sws) nai khud nisab muqarrar kar diya thaa, ussay toh nhi badla jaa sakta, laikin Gold aur doosri currency kai liya ya toh conversion ka tareeqa ikhtiyar kiya jaa sakta hai yai phir nisab ki ‘illat‘ ko daikh kar koe doosra Nisab bh muqarrar kiya jaa sakta hai islami hakumat ki taraf sai. Infiradi tor pai maal kai liya conversion ka tariqa hi ikhtiyar karna behtar hai kai 642 gram silver kai brabar maal ko Nisab samjha jaye.
Please also refer to the video below from 1:12:50 to 1:17:13
-
Mohammad Hasan
Member April 10, 2023 at 12:27 amBhai 642 GM silver k 52 tola chandi nisab h
-
Umer
Moderator April 10, 2023 at 12:50 amnhi, asal 642 gram hi laina chaiyai, isko convert karnay main thori tabdeli aa jati hai. Aap convert karkai daikh saktay hain kai kitnay tolay banta hai.
-
-
Mohammad Hasan
Member April 11, 2023 at 12:49 amAur Ghamidi sahab kyuki khte h ki jo maal ho uspar 2.5 percent unhone nisab nhi kha
-
Umer
Moderator April 12, 2023 at 6:23 amJo maal hai uspar 2.5% zakat di jayegi, isko rasul (sws) nai muqarrar kardiya hai aur issay nhi badla jaa sakta.
Nisab bilkul mukhtalif cheez hai. Nisab woh amout hai jis sai neechay zakat nhi li jayegi, isko bh maal main rasul (sws) nai 642 gram chandi tak muqarrar kardiya thaa, hamain bh wohi follow karna chaiyai. Han agar kahen maamlay ki haqeeqat inti badal jaye kai is Nisab ko badalna par jaye, toh badla jaa sakta hai.
-
Sponsor Ask Ghamidi