Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Epistemology And Philosophy Can Allah Do Whatever He Wills

Tagged: 

  • Can Allah Do Whatever He Wills

    Posted by Mohammad Hasan on April 9, 2023 at 2:56 am

    Bhai jaise jaise allah hr cheez pr Qadir jo chahe wo kr sakta h to bhai jaise Quran me h k qayamat k din aakhirat me hisab kitab hoga to bhai jaise allah ne wajeh kr diya aur wada kr diya koi cheez ka to kya allah chahe to kya usko badal sakta h ek br jo wajeh kr diya aur phir agar allah chahe to kya use phir badal sakta h

    Umer replied 1 year, 8 months ago 3 Members · 12 Replies
  • 12 Replies
  • Can Allah Do Whatever He Wills

    Umer updated 1 year, 8 months ago 3 Members · 12 Replies
  • Isabel Ayesha

    Member April 9, 2023 at 3:10 am

    بلکل اللہ چاہے تو بدل سکتا ہے لیکن اس میں اللہ لی سنت زیر بحث آ جاتی ہے یعنی کہ اللہ اپنے بندوں کے ساتھ کس نوعیت کا معاملہ کرئے گا اور اللہ نے اس متعلق بڑی وضاحت کر دی ہے کہ و لكن سنت الله تبديلا

    اور تم اللہ کے طریق میں ہر گز تغیر نہیں پاؤ گے۔

    اس سے استدلال کی بنا پر میرے نقطہ نظر میں اگرچہ اللہ اس پر قادر ہے لیکن یہ باب بند ہے، اور بندوں کے لیے صرف توبہ کا دروازا کھلا ہے۔ باقی جس نے جو عمل کیا اس کے سامنے لایا جائے گا۔

  • Mohammad Hasan

    Member April 10, 2023 at 12:45 am

    Uker bhai thoda explain kr dijye

    • Mohammad Hasan

      Member April 10, 2023 at 1:08 am

      Bhai jaise jaise allah hr cheez pr Qadir jo chahe wo kr sakta h to bhai jaise Quran me h k qayamat k din aakhirat me hisab kitab hoga to bhai jaise allah ne wajeh kr diya aur wada kr diya koi cheez ka to kya allah chahe to kya usko badal sakta h ek br jo wajeh kr diya aur phir agar allah chahe to kya use phir badal sakta h

    • Umer

      Moderator April 10, 2023 at 1:58 am
  • Mohammad Hasan

    Member April 10, 2023 at 2:01 am

    Bhai ye swal mere zhen me baar arha h allah ne ye faisla kr diya k maut ani h laikin br br ye arha h k to bhai agr allah chahe to kya ye faisla badal sakta h mtlb jo usne faisla kr diya ya wada kr diya kisi cheez ka to kya bhai usko badal sakte h mtlb alag hr cheez pr Qadir h to bhai kya usko badal sakte h mtlb allah insani k zhen se mita bhi sakte h na

    • Umer

      Moderator April 10, 2023 at 2:09 am

      Aik asool yaad rakhain, Allah ki mashiyat (marzi) uski sifat kai khilaf nhi hoo sakti jo us nai Quran main Bayan Kardi hain. Isi wajah sai Allah wada khilafi nhi kar sakta aur na hi na insafi kar sakta hai.

    • Mohammad Hasan

      Member April 10, 2023 at 2:13 am

      Bhai mere waswase rahe h ki agr agr allah chahe bhi to wada khilafi nhi kr sakta ye waswase rahe h

    • Umer

      Moderator April 11, 2023 at 3:44 am

      Aisay waswasay ignore kar dain aur jab bh dobara aisay waswasay aayen to Allah sai panah mangain aur kosish karain kai Quran parhain aap tarjumay kai saath jis main Allah nai sab kuch bata diya hai jo hamaray liya janna zaruri thaa.

    • Mohammad Hasan

      Member April 11, 2023 at 10:24 am

      Bhai jaise qayamat ani h aur akhirat me hisab kitab hoga aur allah ne jo criteria banaya jannat me jane k liye wo to ty h laikin bhai kya isme inshaallah age kh sakte h kyuki inshaaallaah mtlb hota h agr allah ne chaha to to bhai ye sb to Ty h to kya bhai lga sakte h inshaaallaah

    • Umer

      Moderator April 12, 2023 at 11:52 am

      Ji Insha’Allah aap keh saktay hain kyunkai yai hamaray iman ka aur Allah sai talluq ka bayan hoga na kai kisi asool ka bayan hoga.

  • Mohammad Hasan

    Member April 14, 2023 at 7:22 am

    Bhai umer bhai ek sawal h bhai jaise bhai allah hi Taufeeq deta h allah hi hidayat deta h to bhai mera waswasa aya tha bhai ki agr agr allah taufeeq aur hidayat na dete to rasolallah nek amal jo bhi neki na krte bhai jb se ye waswasa aya tha bhai tb se hm bhut pareshan h bhai k hm kuch samajh nhi arha bhai kya kre kuch samajh nhi arab h

    • Umer

      Moderator April 14, 2023 at 12:58 pm

      Bhai aisay waswasay aayen toh yai socha karain kai is waswasay ka aapki amli zindagi sai kya taluq hai. Allah kai nabi (sws) hamain deen dai kar is dunya sai jaa chukay hai, ab unkai amaal ko lai kar waswasay ka shikar honay ka kya faida.

      Allah nai Quran main bataya hai kai Allah Hidayat aur taufeeq usi ko daita hai jo iski taraf pehla qadam khud barhata hai, is liya Allah ki taufeeq har us banday ko hasil hogi jo haq ka sacha talib hai.

You must be logged in to reply.
Login | Register