Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Youth And Islam Nikkah Issues

  • Nikkah Issues

    Posted by Kamran Sadiq on April 12, 2023 at 5:59 am

    Asalam o alikum sir main kamran punjab ky City chakwal sy houn mera question nikkah ky related ha main meri cousin 4 5 saal sy engaged hain or aik dosry ko pasand bhe krty hain or aik he jaga py rehty hain pichly 3 saal sy is dec main meri behn or unky bhie ki shadi hui or maina request ki ghar walon sy keh hmara nikkah kra dain lekin ghar walon nain nikkah ky bjay hmari mangni ki seromony kr di ab phir maina kaha keh ramzan main hmara nikkah kr dain lekin ghar waly nhi maan rahy razi hain unky ghar waly bhe meey ghar ghar waly bhe bs nikkah nhi krna abhi jab tak rukhsati nhi hoti is ki 2 3 wajhuat btaty haon woh aik log kia kahien gay abhi shadi nhi krni to nikkah q kea dosra nikkah ky badh hum physical ho jaien gay. Mera question yeh ha keh kia us mangni ko nikkah mana ja sakta ha q keh us main kabool o hijab bhe tha ghar waly bhe thy khush bhe thy maina apni cousin ko ring di kia woh mehr taswar kea ja sakta ha hum aik ghar main attract krty hain aik dosry ko bahoot preshan hain

    Umer replied 1 year, 8 months ago 2 Members · 3 Replies
  • 3 Replies
  • Nikkah Issues

    Umer updated 1 year, 8 months ago 2 Members · 3 Replies
  • Umer

    Moderator April 12, 2023 at 2:19 pm

    Mangni ka matlab yai hai kai abhi dono ka mian biwi kai haisiyat sai aijab-o-qabul nhi hua aur na hi abhi mushray nai usay aisay taslim kiya hai. Mangni aik muahida hai kai future main aijab-o-qabul hoga na kai abhi. Aur mehar bh ailaniya tai hota hai, khud sai hi aik tohfay ko mehar qarar nhi diya jaa sakta. Aijab-o-qabul kai waqt usko agar mehar qarar diya jaega toh woh mehar hojaegi anguthi. Teesri baat yai kai Nikah kai lia mulk ka qanun bh follow karna zaruri hai.

    Is maamlay main behtar hal yahi hai kai larka larki dono apnay ghar walon ko convince karain kai unki shadi karwa di jaye aur is kai liya apnay qareebi aitemamd walay ehbab ki madad lii jaye kai woh bh ghar walon ko convince karain.

  • Kamran Sadiq

    Member April 12, 2023 at 3:08 pm

    2 dafa family ky bazurgon ko bhaij chuky ta keh woh unko convince krain lekin woh bazid hwin is baat ky abhi nhi nah rishta khtam krna ha nah nikkah abhi krna ha agar hum 2 3 din baat nah krain to hmari family preshan ho jati ha keh hum apas main baat q nhi kr rahy hmain nah sath hony daity hain nah elehda

    • Umer

      Moderator April 13, 2023 at 1:36 pm

      Is par aap sai hamdardi zarur hai laikin iska qabil-e-amal hal jo aap nai surat-e-hal bayan ki hai woh yahi hai kai ghar walon ko razi kiya jaye. Aap koe bh extreme step uthayen gai toh us kai baad aap dono ki zindagi hi mushkil hogi. Is liya behtar hai kai thora sabar ka muzahira karain aur apna ehtijaj ahsan tareeqay sai record karwatay rahain. Is kai liya aap family kai bazurgon ka pressure barhanay kai liya bh iqdam kar saktay hain, umeed hai kai koe surat bar aajaye.

You must be logged in to reply.
Login | Register