-
Parda Of A Female From Other Females
Surah Noor me jo Allah tala ne farmaya ke apni zeenat ka muzahera mat karo siwaie maheram aur male milap ki khawateen k aage .illa wo zeenath jo aap se aap Zahir ho.
To kya jo functions me khawateen ajnabi ek dusre k samne zeenat karke aati hai designer dress pahen ke jis pe work hota wo bhi gunah hoga?
Neez kya ek aurat ka aurat ki tareef kisi gair mahram k aage karna ya phir kisi mard ka gair mahram khatoon ki tareef karna ya unka tabsera ,example ye falan bahen hamari khubsurat Hain fair colour ki hain,lambi etc .jo ke aksar nikah ki takreebat k waqt aise tabsere hote Hain aur umuman family gatherings me cousins aur family friends ek dusre k husn o Jamal ki qubaion ki acchaion ki tareef karte hain bagair shahewat k, kya ye sub bhi gunah me daqil hai?.
Kuch ulama farmaate hi k ye b gunah hai is se hoskata hai aage walek zahen me bad gumani aur shehwat paida ho un k liye.
Sponsor Ask Ghamidi
The discussion "Parda Of A Female From Other Females" is closed to new replies.