Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Sources of Islam Fazilat Of 12 Sunnat Nafl Salah During The Day

Tagged: , ,

  • Fazilat Of 12 Sunnat Nafl Salah During The Day

  • Umer

    Moderator April 13, 2023 at 4:18 pm
  • Saiyed juned Alimiya

    Member April 13, 2023 at 11:41 pm

    Mean allah ke rasul ki apani risalat ki zimmedari ke lehaz se allah ke rasul ne 12 nafile te ki,aaj ka aam ummati par wo zimmedari nahi,lehaza usko 12 se zyada padhani chahiye,12 se Jayda padhna rasul se aage badhana to na hoga???

  • Saiyed juned Alimiya

    Member April 13, 2023 at 11:44 pm

    Is tarah quran me 14 sujud he,ye allah ke rasul ka response he,agar hum iske alava dusari aayat ko samaj kar sujud ka response kare,mean 50 se kai jayada sujud kar Dale to ye act bhi allah ke rasul se aage badhana nahoga???

  • Saiyed juned Alimiya

    Member April 13, 2023 at 11:58 pm

    Mean isi tatwo ki chut ki buniyaad par asi baate milati he ki,salehin me kuch log during day 1000 rakat namaz Ada karte etc,mean balance diet kya ho sakta he aam ummati ke liye??

    • Umer

      Moderator April 14, 2023 at 12:23 pm

      Yai sab nafal namaz hain aur inko insan kai apnay zauq pai chor diya gaya hai, agar parhay ga toh izafi sawab milay ga aur agar nhi parhay ga toh koe pooch nhi. Is main insan ko azadi hai kai jitnay marzi nafal ada karay, aur Quran sai zinda talluq kai tor pai 14 sai zayada sajday karay, Laikin agar yai sab insan ki baqi zimmadariyon ki rah main ruqawat banain gai, jaisay ghar walon ki zimmadari ya insan ki apni sehat etc. toh phir yai nawafil sawab kai bajaye jawab dahi ka baes ban jayengai. Is kai elawa koe pabandi nhi.

      Mainay toh koe salihen main sai nhi daikha jo 1000 nafal parhta hoo. Nabi (sws) aur Sahaba toh nhi parhtay thaa, baqi saliheen ko main nhi janta.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member April 14, 2023 at 12:43 pm

    Ji jazakomullah,allah amano amaan me rakhe

  • Saiyed juned Alimiya

    Member April 14, 2023 at 7:30 pm

    Mean in 12 nafil ke bare me aesa samja ja sakta he ki allah ke rasul ne nabuwat ki zimmedari Ada karte huwe is 12 rakat ko apply Kiya,mean rasul saw ke time management me 12 ke bajaye 14 ya 16 ki bhi koi gunjais na ho gi aesa samje sakte he?

    • Umer

      Moderator April 16, 2023 at 4:59 am

      Ji yai wajah bh hoo sakti hai laikin Yai hatmi tor pai kehna bhot mushkil hai kai time mangement ki wajah sai thaa ya kuch aur.

      Laikin asul main yahi baat Quran sai bh aur Sunnat sai bh wazeh hoti hai yai kisi bh Nafl Ibadat main is tarah ki qaid nhi lagae gai, isko logon kai amomi zauq par chor diya gaya hai.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member April 16, 2023 at 5:30 am

    Ji jazakomullah 100 times

  • Saiyed juned Alimiya

    Member April 17, 2023 at 3:15 am

    Phir in nafil namazo me muakeda & gair muakeda ki entry kab hui? Iske status ki kya value he?

  • Saiyed juned Alimiya

    Member April 18, 2023 at 11:41 pm

    Ji jazakomullah

You must be logged in to reply.
Login | Register