Nabi (sws) ki hayat main toh unka wasila bhot barkat ka bais thaa kyunkai woh samnay mojud thaay aur iski ijazat bh daitay thaay aur Quran main bh kaha gaya hai is baat ka (Quran 63:5 and Quran 4:65). Laikin unki is dunya sai wafat kai bad ab unka wasila istemal nhi kiya jaa sakta kyunkai wasilay kai liya zaruri hai kai woh shaks samnay mojud hoo.
Hazrat Abbas (rta) sai barish kai liya Allah sai dua karwae gaye na kai kisi aur nai unka wasila istemal kiya. Aur waisay bh yai sab unki hayat main kiya gaya na kai unki wafat kai baad. Kisi naik shaks ki hayat main us sai dua karwai jaa sakti hai. Us main woh Hazrat Abbas (rta) sai dua mangwa rahay hain aur Allah sai bh dua kar rahai hain, kai inki dua kai wasilay sai barish kar dai. Asal main Hazrat Abbas zinda mojud hain aur dua kar rahay hain, jab kai yai baat Hazrat umar kai lafaz sai wazeh tor pai nikalti hai kai Hazrat Muhammad (sws) chunkay ab zinda nhi rahay dunya main, isi liya ab unhain wasila nhi banaya ja sakta balkay unkai chacha sai kaha gaya hai jo zinda mojud hain.
Bukhari 1010: https://sunnah.com/bukhari:1010