Riyasat sai murad aaj kal ki zaban main government hai jo mulk ka nazm-o-nasq chala rahi hoo ya phir state bh kaha jaa sakta hai. Iskai liya koe conditions muqarrar nhi ki gae, yai mulk kai aam halat aur awam ki falah ko madd-e-nazar rakh kai riyasat iska faisla karay gi kai kins cheezon main istasna daina chaiyai aur kin cheezon main nhi, aur agar diya bh jaye toh kitna diya jaye.
Jab riyasat zakat wasul kar rahi hoo tabhi woh istasna kai faislay karay gi warna aaj kal ki riyasat ka zayada focus taxation par hai jo zakat kai munafi nizam hai. Laikin jab tak riyasat zakat akhti nhi karti, tab tak ijtihadi tor pay jo taxation kai mustasniyat hain unko zakat kai liya consider kiya jayega takay aam insan par bhot zayada bojh na parjaye, jaisay kai Salary kai Nisab kai liya, tax exemption slab ki amount ko Nisab consider kiya jayega (Please see: Discussion 82363).