Forums › Forums › Islamic Sharia › Renting Out Building To A Bank
-
Renting Out Building To A Bank
Posted by Saiyed juned Alimiya on May 10, 2023 at 2:50 amKya property ko kisi bank ko rent par de sakte he, aam tor par to ye baat mashur he ke bank kyoki sudi karobaar karta he is liye koi bhi property usko rent par nahi de sakte,ek tarah se aap sudi karobar me unka saath de rahe ho?
Saiyed juned Alimiya replied 1 year, 8 months ago 2 Members · 7 Replies -
7 Replies
-
Renting Out Building To A Bank
-
Umer
Moderator May 10, 2023 at 4:13 amPlease refer to the following audio response by Hassan ilyas Sahab:
-
Saiyed juned Alimiya
Member May 10, 2023 at 7:17 amKya jisam faros lady ko apna house rent par Dene me bhi yahi usul hoga ya iski noiyat dusari hogi,ya wine ke business karne wale etc
-
Umer
Moderator May 11, 2023 at 12:59 amBank ka maamla thora mukhtalif hai chunkai Bank ka aik hissa financing ka kam lending kai naam pai kar raha hai toh bialwasta taluq uskai saath thora kamzor kar daita hai hukam ki illat ko, dusra yai kai ‘umum-e-balwa‘ kai usul pai chunkai bank main job karna allowed samjha gaya hai toh usi usul par bank ko rent pai building daina bh filhal mubah samjha jayega.
kahba gari kai liya hukam us shaks par bh lagay ga jo building karaye par daiga kyunkai wahan khulay aam fawahish ka irtikab hoo raha hai jo sareehan haram hain aur aisay hi sharab kasheed karnay ki jagah dainay ka hukam hoga.
-
-
Saiyed juned Alimiya
Member May 11, 2023 at 4:55 amIsko yu nahi samja ja sakta ki dusro ke halal risk ki zimmedari hum par nahi,hame to hamari property ke rent se matlab,mean aesa is liye ki agar samaj( muasara) me islah he to rent Dene Wale Saleh hoge, agar samaj gaflat me he to rent denewale Saleh na hoge mean gunehgar ho ge,rent se unke akhlaq ka kya taluk,mean state ke law & order se bhi to isko dekhana chahiye?
-
Saiyed juned Alimiya
Member May 11, 2023 at 5:02 amMean masiyat ke ye usul har jaga apply kare to koi bhi chota ye bada business karna musakil hoga,mean shop par ye notice lagana padega ki yaha sirt imandaar log hi kharidi kar sakte he?
-
Umer
Moderator May 12, 2023 at 12:23 amItni taftish ki zimmadri nhi hai hum pai, laikin aik kaam sareehan Haram hoo raha hai aur kabira gunahon main sai hai, uski zimmdari toh property walay pai aayed hogi, jaisay agar ussay pehlay sai pata hai kai uski building kahba-gari (prostitution) kai liya istemal hogi toh phir woh bh gunnahgar hoga agar woh jantay bujhtay building rent pai daita hai toh. State ki zimmedari apni jagah qaim hai laikin infiradi tor pai bh toh insan nai har qisam kai fawahish aur uski sahulatkari sai bach kai rehna hai.
-
-
Saiyed juned Alimiya
Member May 12, 2023 at 4:10 amJi jazakomullah
Sponsor Ask Ghamidi