Ghaliban yai batana maqsud thaa kai Jahannum main garam aur sard dono qisam ki sakhtiyan mojud hain aur hamari is dunya kai mausamon ki sakhtiyan us Jahannum kai Mausamon ki sakhtoyon ka mehaz aik chota sa aina, asal sakhti is sai bhot zayada hoogi.
Jahannum khuda kai liya aik haqiqat hai aur uskai ilm main wajud main aa chuki hai. Yai mazi haal insanon ki mehdudiyat hai. Nabi (sws) ko aisay mushahidat karaye jatay thaay, kabhi dikha kar, kabhi koe awaz suna kar, kabhi sotay huay khawab main aur kabhi jaagtay huay, ya haqeeqat kai tor pai ya tamseel kai tor pai. Ghaliban yai bh isi tarah ka koe mushahida hoo sakta hai. Jahan inka aik maqsad Nabi (SWS) ko andaikhi dunya ka ilm ata karna hota hai, wahen logon ko in sai mutanabbay karna bh hota hai.