Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Hadith As A Source Of Religion

  • Hadith As A Source Of Religion

    Posted by Mohammad Hasan on May 11, 2023 at 9:39 pm

    Jaise bhai jaise kisi sahaba ne rasolallah se koi baat suni aur agr use pahunchaya jo sahih hadeeso me h ke ye wajeh ho jaye k ye rasolallah ne kha hoga aur sahih hadees mil jaye to jo rasolallah ne kha h wo to deen k hissa huya na

    Umer replied 1 year, 7 months ago 2 Members · 8 Replies
  • 8 Replies
  • Hadith As A Source Of Religion

    Umer updated 1 year, 7 months ago 2 Members · 8 Replies
  • Umer

    Moderator May 12, 2023 at 1:53 am

    Zaruri nhi kai woh deen ka hissa hoo, agar rasul Allah (sws) sai ba-aitimad zaraiye sai koe khabar phonchi hai toh us kai baad daikha jayega kai uska deen kai sources sai kya taluq banta hai yani Quran aur sunnat sai, kyunkai agar aik hadees main kisi aik khas rang kai ghoray (horse) ki tareef ki gae hai toh woh deen nhi ban jayega.

    • Mohammad Hasan

      Member May 12, 2023 at 2:26 am

      Aur bhai agr jo baat pahunchi h rasolallah se aur uran aur sunnat se talluq banta h to phir to wo deen k hissa huya na

    • Umer

      Moderator May 12, 2023 at 2:28 am

      ji bilkul.

    • Mohammad Hasan

      Member May 12, 2023 at 2:57 am

      To phir bhai hadees bhi deen k hissa huyi na

    • Mohammad Hasan

      Member May 14, 2023 at 1:59 am

      👆

    • Umer

      Moderator May 15, 2023 at 6:53 am

      ji – laikin chand asulun kai saath jin sai hadees ki noiyat, matan ka aur uski sehat ka taiyun kiya jata hai aur aslan deen yani kai Quran aur Sunnat sai uska bahmi taluq samjha jata hai.

    • Mohammad Hasan

      Member May 15, 2023 at 7:31 am

      To phir Ghamidi sahab kyu khte h ki hadees me deen nhi bayan huya

    • Umer

      Moderator May 15, 2023 at 7:33 am

      Kyunkai jo kuch deen bh hadees main bayan hua hai woh Quran aur Sunnat main bayan karda deen ki sharah aur tafhim-o-tabeen hai, us main koe mustaqil-biz-zaat ehkamat bayan nhi huay.

You must be logged in to reply.
Login | Register