Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions Issue Of Age Of Hazrat Ayesha (rta) And The Scholars Of The Past 1200 Years

  • Issue Of Age Of Hazrat Ayesha (rta) And The Scholars Of The Past 1200 Years

    Posted by Amjad Daud on May 20, 2023 at 1:17 am

    Assalam alaikum

    Maine muhtaram iliyas sahab ki Hazrat Aisha r.z. ki shadi ki umr se mutalliqek clip share ki thi WhatsApp group me jiska Link neeche share Kiya hai maine reference ke liye

    https://youtu.be/d9woLNEyHaM

    Group me jo reply aaya woh mandarja zail hai

    “Inki baat me dam hai jin riwayato ki buniyaad par ye kah rahe hain. Lekin ye baat samajh me nahi aa rahi ke kaise ye riwayatein 12-1300 saal se itne saare laakhon ulema se miss ho gayi ya isko consider kyun nahi kiya gaya. Ulema se tahqeeq karta hun. @⁨CRA SHAHBAZ⁩ aap bhi is par tahqeeq karein ulema se”

    Meharbani karke rahnumayee farmayen

    Jazakallah

    Umer replied 1 year, 8 months ago 3 Members · 2 Replies
  • 2 Replies
  • Issue Of Age Of Hazrat Ayesha (rta) And The Scholars Of The Past 1200 Years

    Umer updated 1 year, 8 months ago 3 Members · 2 Replies
  • Dr. Irfan Shahzad

    Scholar May 22, 2023 at 7:35 am

    بعض اوقات کوئی بات مسئلہ بن کر سامنے نہیں آتی اس لیے اس طرف طویل عرصے تک توجہ نہیں ہوتی۔ ایسی کئی مثالیں ہیں۔ بہت سے مسائل بعد کے ادوار میں سامنے درست طور پر سمجھ گئے جب کہ ان کے بارے میں غلط فہمیاں طویل عرصے تک پائی جاتی رہیں۔ مثلا یہ سمجھا جاتا رہا کہ خلافت پر قریش کا دینی استحقاق ہے اس ہر اجماع تھا مگر بعد میں یہ اجماع منسوخ ہو گیا۔ دین ایک وسیع علم ہے اور اس سے جڑی تاریخ بھی ایک عظیم علم ہے اس لیے یہ ممکن ہوتا ہے کہ کوئی جزو یا کوئی گوشہ تحقیق سے رہ گیا ہو۔

  • Umer

    Moderator May 22, 2023 at 8:00 am

    Uski wajah yai hai kai na toh yai koe deen ka masla thaa kai uski itni tehqeeq ki jaati aur na hi koe muasharti aiteraz uthaya gaya thaa kai is baat ko dusray zawiyai sai bh daikha jaata, yai sarasar aik tarikhi mozu hai jiska deen sai koe taluq nhi hai.

    Chunkay yai baat zayada tar aaj kai zamanay main zayada highlight hona shuru hue thii toh isi wajah sai phir ahl-e-ilm nai usi muslamanon kai ilmi mawad sai woh cheezaon samnay rakh dii jis sai Bukhari ki riwayat kai matan par sanjeeda sawal uthtay hain. Yahan yai baat qabl-e-ghor hai kai jo bh aiterazat hain, unki bunyad pehlay sai Muslamanon ki ilmi mawad main mojud thii, ulema nai sirf unhain samnay lanay ka kaam kiya hai. Aur aisa ilmi kaam us zamanay main hi hoga jab koe tarikhi baat baray paimanay par marizay behas banay gi muasharti satah pai yai ilmi satah pai.

You must be logged in to reply.
Login | Register