-
Comparison Of Human Creation As Per Quran With Darwin's Theory Of Evolution
Ghamidi sahab kay mutabik Qur’an me allaah s.v.t farmata hai kay hum ne dariya kay kinare ki chichipati mitty me vo process kiya jo maa kay pet me hota hai, dariya kinare ki chichipati mitty me egg ki surat me process hua or insan ka haivani vajood ka janam hua phir kai barso kay baad Allah s.v.t ne uss haivani vajood me apni rooh phoonk kar uss insaan ko shaoor baksha, lekin agar hum Darwin ka nazariya e irtaqaa ko maane to uss me koi fark padega? Mene jaha tak samjha hai uss hisab se dono me farq sirf itna hai ki Darwin ki theory kehti hai ki kai saal kay process kay baad janwar bane ussme phir kai saal kay process kay baad insaan bana or phir ussme bhi kai saal kay process kay baad insaan me aql aai, kya Qur’an ki iss aayat ki taawil Darwin ki theory ki roshni me ho sakti hai?
Sponsor Ask Ghamidi