Qurb ka matlab hota hai “Nazdiki, Qaribi” aur waseela ka matlab hota hai “zariya”. Wasila ke matlab aisi chiz ke hain jo kisi maqsood ke hansil karne ya iska “Qurb” ka zarya ho.
Kabhi Lafz Waseela apnay Siyaq kai aitebar sai apnay nateejay kai liya istemal hoo jata hai, yaani kai waseela ka nateeja Qurbat hoti hai toh Qurbat kai maani main istemal hoo jata hai, Jaisay Quran 5:35 (https://www.javedahmedghamidi.org/#!/quran?chapter=5¶graph=20&type=Ghamidi), aur waisay aam tor pai yai apnay haqiqi maani zariya kai liya istemal hoota hai, Jaisay Quran 17:57 (https://www.javedahmedghamidi.org/#!/quran?chapter=17¶graph=17&type=Ghamidi).