-
Islam And Democracy
AoA!
Ma ny Thora bohat Islamic history ka mutaliah Kia ur Kafi ahly ilm ko be suna lakin mjy ya bat samj nahi Ati ka Islamic system ya Jo musalmanu ny system qaim Kiya ur democracy ko jhur kr kew paish Kiya jata ha. Mara study background basically social science ka ha is liay ma jab us system ka jaza leta hn TU mjy wo 110% ya Wohi system lagta ha Jo us zamany raij tha Yani emperor system. Ur Jo dalail us system ka hiwaly Sy diay jaty Hain ka ya Baz mamlat Salah mashwary Sy howy TU asi byshumaar misalein Roman empire Sy la kr mughlia dhor tak di ja sakti Hain ka Kis trhan darbar ma emperor ka manzoor e nazr ya uski qabina ka log aham Amur bahas ka bad aik raay muratab daty thy.
Musalmanu ny Jo be system raij Kiya us ka tahat JB be transfer of power ka time aya bloodshed ka Bina mamla Hal ni ho saka. Ur nahi majority raay par koe Faisala ho saka. jis ny jitna khul kr power ka istmaal Kiya iqtadar usi ko mil gya.
Ab agr hum democracy ko dakhein TU is ma TU transfer of power Bina bloodshed ka Hoti ha ur ho Rahi ha, hamary han tu neo feudal system raij ha lakin agr hum western democracies ko dakhein TU wahan ya bat Roshan din ki trhan Ayan ho jati ha ka democracy TU bloodshed ko khtm krny wala system ha.
Baray Karam Mari islaah farmain ka mara ya manana ka musalmanu ka qaim krda system ur democracy dono aik nahi thy ur Hain.
Batur social science ka aik student mara manana ha ka koe be system ideal nahi ha ur ideal system ki talash ur us ka liay tagu do insaan krta rahy ga. Lakin majoda dhor ka best available system democracy purely western thinkers ur unhe countries ma anny wahi mukhtalif change ki waves ur unka ahl e ikhtiyar ur logon ki dein ha.
Lakin agr koe solid examples majood Hain ka democracy Islamic ya mousalmau ka bnaya Howa system ha TU 1500 saal ma Sy koe example zaror dein JB mamla power ki bajay majority opinion par Howa ho, Ur usy sb ny tasleem kr Liya ho.
Thanks!
Sponsor Ask Ghamidi