-
Ijma And Manhaj Of Sahaba And Disagreement Of Ghamidi Sahab
Wo fikar aur maktab haq k qareeb hai jo Deen ko kitab (Qur’an ) aur sunnat se Aur sahaba k ijma o ittafaq k fahem se akaz karte hain! Ghamidi sahab ka kya ye mauqaf hai k sahaba ka fahem batil hai? ghamidi sahab pe aitarz karne walo ka ye qaul hai! Agar sahaba k fahem haq par nahi tha ?jo baharh e rast nabi aliahisam se sadir hua to Aaj,daur e hazir k ulama ka fahem e Deen kaise haq pe hosakta hai? Agar sahaba ka fahem hujjat ya rajeh nahi hai to har kisi ko haq hasil hoga k apne batil nazariyat ko Qur’an o sunnat k ghalat tashreeh karke haq sabit karein .jo k khawarijion ka nazariya hai .wo b sahaba ko aur unke fahem ko batil samjhte hain! Mera ishkal sahaba k iqtalafi masail ka nahi balke sahaba k ijma aur muttafiq masail aur nazariyat ka hai! Kya ghamidi sahab, sahaba aur tabien k muttafiq aqwal, arah,aur tashreeh jo nabi aliahisam ki taleemat hai unhe bhi batil mante hai? Mere sawal agar ghalat ho to islah karein.
Sponsor Ask Ghamidi