-
Contradiction In Quran 2:30 With Quran 51:56
surah baqara verse 30 farishty is baat ka izhar karty hai ke ye baikhtiyaar makhlooq zameen par fasad or khu rezi karegi to khuda ne aadam a.s ko naam sikhadiye paighambaro,nabiyo ke or kaha ke ye ikhtiyaar pa kar khud bhi iska haq ada karenge or dusro ko bhi targheeb denge or is kaam ke liye apna sab kuch qurbaan kardenge ye tarjuma ustaad e muhtaram ka hai,janna ye chahty hai ke in baato se ye zahir hota hai ke paighambaro ki aamad ka asal maqsad fasad or khu rezi ko rokna hai.
surah zariyaat verse 56 khuda ne insaano or jinno ko isliye khalaq kiya ke ye uski ibaadat kare agar ibaadat ka matlab parastish karenge to ye aayat pehle ayat se takra rahi hai or agar ibaadat ka tarjuma apne ikhtiyaraat ka sahi istemaal kare to nahi takra rahi or sahi istemaal nabi,paighambar batate rahenge to baat zyaada vazeh hogi,kya aisa samajhna nahi nahi hoga
Sponsor Ask Ghamidi