Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums General Discussions What Comes Under Dawah Responsibilities For Common Man

  • What Comes Under Dawah Responsibilities For Common Man

    Posted by Daniyaa Khan on November 20, 2023 at 6:52 pm

    Assalamualaikum

    @UmerQureshi

    Dawah ki zimadarion main aik Aam Insaan ky Liye Jo zimadari hai wo Waziya ha us ka daira bhi aur tariqa bhi lakin dawah ma kiya Shamil hai? Kya Shirk, us ky mutaliq mukhtalif jori hovi cheezain, libaas ki behas, Khatam qul chaliswa ko manana, non muslims ko wish krna etc etc yeh Maine misaal di, main janna chahti hn kis tarh ka haaq btana farz hai aik tarf Maine parha Jo puri insaniyat ki Mani hovi burain hain fitrat manti ha wo shamil hn, kis tarh ka haaq,

    Kya is ayat main bhi yeh he btaya ja Raha hai

    وَالْعَصْرِ إِنَّ الْإِنسَانَ لَفِي خُسْرٍ إِلَّا الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ وَتَوَاصَوْا بِالْحَقِّ وَتَوَاصَوْا بِالصَّبْرِ (103: 1 -3)

    Time bears witness that these people shall definitely be in a state of loss. Yes! except those who accepted faith and did righteous deeds and exhorted one another to the truth and exhorted one another to remain steadfast on it. (103:1-3)

    Is main bhi haaq se Murad Maruf aur Munkir hain….

    Umer replied 1 month ago 2 Members · 4 Replies
  • 4 Replies
  • What Comes Under Dawah Responsibilities For Common Man

    Umer updated 1 month ago 2 Members · 4 Replies
  • Daniyaa Khan

    Member November 24, 2023 at 5:20 pm

    2- Aur Janab Ghamidi Sahab ne is video ma ayat ko bayan krte hove Kaha hai haq main imaniyat b hain, tu imaniyat ma Kya Kya btana shamil hai? Yeh bhi btya unhon ne ky Jo ilmi bt ho sch ho maruf ho naiki ki ho tu is tarh tu Deen ki har bt btana farz hai Iman ka taqaza ha phir maruf aur munkar ma yeh he kiun bayan Kiya ha Janab Ghamidi Sahab ne ky Jo sari duniya manti hai ky bhalai hai…kiun ky jaisy main Kisi scholars sy koe ilm hasil krun us ko btaon shaid koe dosra usko na many ma kahon apko fala khatam nahi dilwana wo kahy nahi yeh aisy nai hai main Kisi ko shirk ky mutaliq btaon ye shirk ha yeh shirk ky mazahir hain wo man bhi sakta ha nahi hai…in short Kya sb Kuch btana hai? Phir is Aya ko Maruf aur munkar sy bhi jora jata ha

    Bari mehrbani in dono baton ki islah Kr dijye

    35:00 – 44:00

    Discussion 82198

  • Daniyaa Khan

    Member November 24, 2023 at 5:27 pm
  • Daniyaa Khan

    Member August 22, 2024 at 8:07 am

    Kiya qasam khane ky bary main bhi btana chahye ky qasam bhi sirf ALLAH ki he khani chahye, aur bhi is tarh ki har ghalat cheez ghalat amal jo dekha jay apne dairy main btana chahye, is topic pe kuch confusion hai, kindly explain kr dijye, kafi waqt se jawab ky intazar main hun.

    Boht Shukria, JAZAK ALLAH

    @UmerQureshi

  • Umer

    Moderator August 24, 2024 at 12:56 am

    Yai Sab cheezain insan kai mahool aur rishtaydari ki noiyat par munahsir hain. Phir is main hikmat kai taqazon kai mutabiq moqa-o-mahal bh daikhna hai. Aslan is hukm main maruf-o-munkirat hi shamil hain jis pai deeni behas ki gunjaish na hoo. Haq bh wohi hai jo ilmi aur aqli muslamat sai wazeh hoo raha hoo na kai deeni istadlalaat sai. Jo misalain aap nai dee hain unka taluq maruf-o-munkir ki behas sai nhi hai. Laikin agar apka bhot hi qareebi azizi is qisam ka amal kar raha hai toh halaat ki noiyat sai aap ussay samjha saktay hain, laikin yai asal zimmadari main nhi aata.

You must be logged in to reply.
Login | Register