Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Epistemology And Philosophy If Faith In Allah Is Guman-e-Ghalib Then Why Not Quran?

Tagged: ,

  • If Faith In Allah Is Guman-e-Ghalib Then Why Not Quran?

    Posted by Saiyed juned Alimiya on December 6, 2023 at 12:49 am

    According to gamdi sir allah par imaan Lana mean gumane galib ka hi takaza he to phir Qur’an ke bare me katiyus subut kyo kaha jata he,yu kaha Jaye ke ye Qur’an bhi gumane galib allah hi ke taraf se hoga? Isko kese samje?

    Saiyed juned Alimiya replied 1 year ago 2 Members · 3 Replies
  • 3 Replies
  • If Faith In Allah Is Guman-e-Ghalib Then Why Not Quran?

  • Saiyed juned Alimiya

    Member December 11, 2023 at 6:52 am

    ?

  • Umer

    Moderator December 11, 2023 at 7:42 am

    Yun nhi hai kai Allah par Iman guman-e-ghalib hota hai, balkay Allah kai haan guman-e-ghalib ki satah ka Iman bhi Qabil-e-Qabul hai. Bhot sai Musalman hain jin kai nazdik unka Iman guman-e-ghalib sai aagay hai aur yaqeen ki satah pai hai.

    Jahan tak Quran kai qate-us-sabut honay ka taluq hai toh iska taluq uskay hum tak phonchnay kai sabut kai sath hai. Chunkay yai ijma aur quoli tawatur kai qabil-aitemad zariyai sai hum tak phoncha hai toh iska Nabi (sws) sai sadir hona qatae hai jissay Qate-us-sabut bh kehtay hain. Laikin kya yai Allah ki taraf sai hai ya nhi, iska Qate-us-Sabut ki behas sai koe taluq nhi hai balkay yai iman ki behas hai aur iska istadlal mukhtalif hai.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member December 12, 2023 at 7:20 am

    Yes bro jazakomullah

You must be logged in to reply.
Login | Register