-
Why No Prophets In Other Region For A Long Time?
Quran majeed mien Allah talah ne farmaya hai kay hum ne tum per (Arab) yeh messenger aur quran iss liye behja hai ta kay tum qayyamat wale din yeh na bol saku kay hum per tu koi messenger nahi aya tha.
Ab agar dekha jai tu oss Waqat udar bi zayada chirstian aur jewish thee aur un par last messenger aye hue ( jesus)abi 500 ya 600 years hi ghuzre thee lakin phir bi Allah talah ne un par Akhri messenger Muhammad PBUH send kiye. Lakin ghamidi sahib farmate hien kay iss se phele haar qum ki taraf prophets behje gai.
Chalin manan lete hien kay hinduon per bi prophet ayien hoon gai Noah ki nasal mien se ya aur prophets ki nasaloon mien se lakin phir bi buhat gap aa chuka tha ( many 1000 years ghuzur gai thee) tu woh bi arab ki tarah idol worship mien lag gai.
Tu kia ek hindu uth ker qayyamat wale din Allah ko yeh nahi bol sakta kay un per tu koi prophet nahi aya tha? Ya koi yaad dehani nahi ayi?
Agar arab ki yaad dehani zaroori thi( jahan phele hi buhat prophets aa chuke te) tu kia hindu ya buddhist ya chinese ko yaad dehani zaroori nahi thi?
Thirdly, app har program bar bar ek hi topics per kerte hien. Ap comparitive religion par buhat kam program kerte hien? Ap please hinduism, buddhist aur kuch dosre religion par islam ka compare kuyn nahi kerte? Ya ek do program duniya mien pheli hui quomon ki history per ker dien?
Ase tu sab ko lagta hai oss ka religion theek hai. Saab kay pas book bi hai? Sikh tu infect eik hi khuda ko mante hien?
Sponsor Ask Ghamidi