Ask Ghamidi

A Community Driven Discussion Portal
To Ask, Answer, Share And Learn

Forums Forums Islam And State Islamic Criminal Law Apply In Secular Country

  • Islamic Criminal Law Apply In Secular Country

    Posted by Saiyed juned Alimiya on December 30, 2023 at 10:49 am

    Islamic crime law like India me apply ho jese ki Kai debat me aesa questions hota he ki aap log personal law ki baat karte ho to criminal law ko apply kyo sahi nahi mante? Mean question ye he ki kya musalmano ko iski apply ki kosis karni chahiye second question agar yahaki parlament ye resolution pass kare ke musalmano ke liye crime law according to Islam hoga & court usiki tarz PE jugement Dena surah kare to isko kese samje, mean islamic law apply ke liye judge ka iman wala hona ya musalman hona etc jaruri he ya koi bhi sirf islamic knowledge ki buniyadd par jugement de sakta he

    Saiyed juned Alimiya replied 11 months, 3 weeks ago 2 Members · 2 Replies
  • 2 Replies
  • Islamic Criminal Law Apply In Secular Country

  • Umer

    Moderator December 30, 2023 at 2:18 pm

    Agar Musalman Hukmaran hai toh uski toh zimmadari hai kai shariat kai mutabiq faislay karay un tamam ijtimai mamlaat main jin main shariat nai qanun-sazi kardi hai. Laikin agar hukmaran musalman nhi hai toh us surat main yai zimmadari nhi musalmanon ki. Agar koe ghair muslim islamic criminal law apply karta hai toh baat toh qabil-e-amal nhi lagti laikin aisi surat main Musalman ussay support kar saktay hain, laikin yai unki zimmadari nhi hai jab tak musalman hukmaran na hoo toh. Aisi surat main zahir hai joh bh judge hoga us sai pehlay Qanun musalmanon ki mushwrat sai hi banay ga.

    Personal law main state direct stakeholder nhi hoti isi liya us kai baray main kaha jata hai kai us main azadi honi chaiyai. Crime ki surat main state ka ikhtiyar hai kyunkai woh barahiraast stakeholder hai.

  • Saiyed juned Alimiya

    Member December 31, 2023 at 4:55 am

    Ji

You must be logged in to reply.
Login | Register