-
Regarding Surah Ahzab
I’m student of ghamdi sb and was listening to his lectures about pardah. Jahan ghamdi sb ne sayak o sabaq ka lehaz rakhte hwe ye kaha ke ye tamam ehkam temporary teh jis me unho ne kaha ke bahar jate waqt parde ka hukam ik khas waqt tk tah agar hum ye bat sai man lein to yahan ik sawal paida hota hai ke huzoor ki azwaj ko bhi ehkam dete sath ye nhi kaha gaya ke ap ne ye hamesha karne hain bulke dekha jai to unko bhi waqti tor par hi hona chahiye. Sawal asal ye hai ke ghamdi sb background ki base par keh rahe ke temporary hain aam khawateen ke liye magar azwaj ke liye mustaqil hain jub mouqa donon ko hukam dene ka ik hi hai.aur alfaz ke sath tafreeq bhi nhi ki gye aur rawayat aur asaar se maloom hota hai ke azwaj ne mustaqil in par amal kia aur baqiyon ne aarzi, to wo kia cheez hai jis se ye maloom hota hai ke azwaaj mustaqil tor par ye karein gi.
Aur agar koi ishara hai bhi to uske bad jahan tamam mominat ko azwaj ke sath discuss kia gaya ke wo bhi parda karein bahar jate waqt to halaat behtar hote sath mominaat ne utar diya aur azwaj ne qaim rakha halake ayat ik hai aur azwaj ne usko mustaqil ke manna me liya aur mominaat ne aarzi ke mana me
Ye ishkal kafi time se mere zehan me hai agar koi is ka jawab de de to behtar ho ga
Jazak allah
Sponsor Ask Ghamidi